haaye saadaat
- Nadeem Sarwar (2012)
haaye saadaat haaye saadaat
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha

apni aankhon ko sadaa khun hi rota dekha
jis gharane ne sadaa logon ko khusiyaan baati
unko khushiyaan na mili gham hi ziyaada dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
wo mohammad ke jo rehmat hain zamaane ke liye
unki naalain ko bhi khun me duba dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
sabz gumbad ke qareeb marqade zehra hai magar
baap ne beti ki turbat pe na saayaa dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
rotiyaan maang ke jis dar se farishte jaaye
eed ke roz bhi un batchon ka faaqaa dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
wo taqi ho ke naqi musiye kaazim ya raza
sakhtiyaan qaid ki aur zehr ka pyaala dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
pusht pe jis ko bithaate the rasule akram
us nawaase hi ka sar bar sare neza dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
jis ke baazu the rida zainabe kubra ke liye
kaise bibi ne use baazu burida dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
subhe aashur dhali shaame gharibaan aayi
tchaar pehron me qayaamat ko guzarta dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
gir gayi khaak pe gash khaa ke ali ki beti
putchha sughra ne ke pardes me kya kya dekha
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha
ro diye sarwar o rehan jigar thaam ke ham
jab azaa khaane me rakhaa huwaa jula dekha