Sajday may maar dala damad Mustafa ka
- Rizwan Rizvi (2020)
Sajday may maar dala damad Mustafa ka
Ummat ne kar diya hay (x2) haye waar yun qaza ka
Pardes may yateemi, Zainab pe cha gayi hay
Haey qatl ho gaya hay (x2) sartaj Fatima ka
Haey kalma go ne us pe talwar hai chala di
Lehraya jis ne parcham (x2) har simt la ilah ka
Sar hai Ali (as) ka zakhmi, Zainab (sa) ko do sahara
Manzar na dekh le wo, Kufe mein Karbala ka
Sar peet.te hain Shabbar (as), Sarwar (sa) hain mehw e girya
Dafnayen kaise lasha, Hasnain (as) Murtaza ka
Ye Sher e Kibriya ka, chehra lahu lahu hai...ya khoon se hai rangeen, Islam Mustafa ka
Is ko fida zamana kaise mita sakay ga
Ke matmi asar hay (x2) Zainab ki ik dua ka