Hasnain Ke Baba Par

- Joan Rizvi (2019)


Hasnain A.S kay baba par kia waqt ye aya hai
Jaari hai lahoo sar se hayee (x2)
Tar khoon musalla hai

Dekha he nahe sabir dunya ne Ali(A.s) jaisa 
Phir isko rulata hai kyu zakhm ye zarbat ka 
Kia yad me Haider a.s ki HAYE (x2)
Pheloo e shikasta hai

Thi samne zoja kay gardun me bandhi rassi 
Ab samne beti kay zakhmi hai tera sar bhe
Wo shehr e madina tha HAYE (x2) 
Afsos ye koofa hai

Tareekh ne ek ye bhe manzar hai ajab dekha
Qatil ko bhe wo jisne rehne na dia pyasa 
karbal me ussi ghar HAYE (x2)
Sehroz ka pyasa hai

Betoon say jo kheta tha tum sabr nahe khona
wo baap jo kheta tha shabbir(A.s) nahe rona
jab betiyaan aaen to HAYE (x2)
Wo baap bhe roya hai

Betoon ki tarf dekha or khene lage haider(A.s)
Ye haal jo dekha to mar jaegi ro ro kar
Zainab(S.a) ki nigahoon se HAYE (x2)
Ye zakhm chupana hai

Muljim kay pisar tune kaisa ye situm dhaya
Tu kaisa musalmaa(n) hai itna bhe nahe socha
Chera ye khuda ka hai HAYE (x2)
Jo khoon me dooba hai 

Kofaay k yatimoon ki karta tha kifalat jo 
Ab chor kay jata hai khud apne he bacho ko
Is baat ne zehra(S.a) ko (x2)
Turbat mein rulaya hai 

Moula(A.s) ki shahadat hum zeeshan manaengy
Aey Joan zamane ko ye baat bataengy 
jo farz humara tha HAYE (x2)
Wo humne nibhaya hai