Aansu

- Joan Rizvi (2019)


Ho sooz dil main to us sooz ki dawa aanso
Hayaat ki bhi yehi ban gaya baqa aanso
Jo poocha apni bhi roodad kuch suna aanso
To be-basi say faqat aankh sa gira aanso
Hay kaynaat bani jab sa main bana aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Jinnah sa niklay to Adam zameen par ayay
Khuda na toba kay Adam ko naam sikh layay
Kaha Hussain to aankhoon main aagaya aanso 
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Galay main rassi Ali k woh waqt aya tha
Jala k dar, dil e Zehra ko yun dukhaya tha
K ab bhi ankh sa shahyad ho beh raha aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Na Ma ka ghum abhi bhooli thi Zainab e Dilgeer
Nikalnay paray Taboot say jo bhai kay teer
Kafan tha Laal ya Zainab ki aankh kaa anso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Behan K samnay Kat-ta tha haye bhai ka sir
Batool khaak uraati theen haye Khool k Sir
Laho main betay k Zehra ka mil gaya aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Jo ayee Sham e ghareeban to khaimay khali thay
Sina ki nook pay sir thay, zameen pa lashay thay
Jalay thay khaimay , lutee chadarain , baha aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Ussay na tooq nay Zanjeer nay jhukaya tha
Safar nay sham kay Abid ko bus rulaya tha
Imam E sabar tha Abid ki aankh ka aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso

insan ki baqa aanso
izhar e wafa aanso
ho sooz bhi jis dil main
us dil ki dawa aanso
zahra ki dua banker ankhon main raha aanso
bad e shab e aashora khamioon main baha aanso
Sajjad ki aankhoon sa khoon ban k gira aanso
Zainab khulay sir pa qudrat ka gira aanso
mazloom ka dunia main hathyar bana aanso
Zahra tere turbat pa aankho sa baha aanso
 
Alam uthatay hain farshay aza bichatay hain
Kaho Hussain to aankh main ashq aatay hain
Wohi sabab mere bakshish ka ban gaya aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Aik ahlay bait ka waris janab baqi hai
Abhi to zulm ka hona hisab baqi hai
Her aik waqt ka, zehra ka jab baha anso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso
 
Woh Rizvi aankh sa mehraj per gaya aanso
Ghum e Hussain main Aey Joan jo baha Aanso
Roomal Zehra main pata hai who jaga aanso
Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso