Ali Ko Yad Wo Ummat Ka Har Sitam Aya

- Joan Rizvi (2019)


Chala jo masjid-e-kofa woh fatah-e-Khyber 
Taw rohknay lagi murghabiyan bhi ro ro kar
Na rohko ajj hamein keh kay bhar gae Haider a.s
Sukoon dil ko nahi baykarar hota hon 
Woh zulm haaey jo ummat keh yaad karta hon 

Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…
Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…

Khayal bint-e-nabi ka…. Khayal bint-e-nabi ka….
Ali a.s ko jab aya 

Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…
Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…

Nabi s.a.w.w ko chor keh shurah ko sab saja behtay 
Jo thakt to taj ki lalach mein sab bhola behtay 
Ghadeer mein jisay mola kaha na yaad aya 

 Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…
Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…

Galay mein dal keh rasi mujhay jo keencha tha 
Nigah-e-aas say zehra s.a nay haey dehka tha 
Batool bholi na mein bhi kabhi bhola paya 

 Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…
Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…

Meray salam ka Dayna jawab chor dia 
Nabi saww keh baad musalman nay moun ko mor lia 
Shikasta dil say mein zehra s.a ko yea bata paya 

Woh jalta dar teray pehloo  pay jab geraya tha 
Sarapa tera jo dewar-o- darmiyan aya tha 
Shaheed kardia mohsin a.s ko kia sitam dhaya 

Yea zarbay zakhim ali a.s ko kahan daraein gay 
Woh baeen zainab s.a-o- kulsoom s.a keh rolaein gay 
Na zehra s.a tumho na mera rahayga abb saya 

Hassan a.s rafiqon say keh do keh lot jaein zara 
Sunnay na koi meri betiyon ki ago buka 
No waqt sham-e-ghraiban ka hai abhi aya 

Hassan a.s ko soanp keh sab ko kahonga aey Abbas as 
Rahay na koi tu rehna meray Hussain a.s keh pass 
Keh karbala keh liyay rab say hai tujhay paya 

Pher ek Joan jo masjid say thein sada aaey
Kasam khuda ki ali a.s nay kaha  fata paee
Khayal Rizvi yateemo ka akhri aya 

Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…
Ali a.s ko yaad woh ummat ka har sitam aya…
Dinay khuda ki kashti laga dhobnay lageee 
Tareehk karbala ki taraf dehknay lagi