Mera Naizay Pay Ser Hoga
- Joan Rizvi (2019)
Yeh Bolay Syeday Wala mera naizay pa sir hoga
Behan Zainab tum na rona mera naizay pa sir hoga
gulo e khusk pa chalay ga kund jab khanjar
to amma samnay haungi behan kahmioon k tum dar per
na tere bain shimar layeen pa kuch asar hoga
sakina k gohar cheenaingay khoon us ka bahaingay
lagay gi aag daman main woh jab khamaiay jalaingay
mere beti sa keh dana k sona khaak per hoga
woh pushte syed e sajjad sa bistar bhi chenaingay
mere beemar betay ko azayat is tarhan deingay
lutaingay chadrein aur samnay mera pisar hoga
sakina k lia chalna qayamat sa na kam hoga
galay barah 12 bandhaingay aik rassi main sitam hoga
k lana saans bhi mushkil sakina kis qadar hoga
sakina ko woh jab bandhaingay zainab pustay naqa per
bauhat royay woh jab tumko nishan rassi k dikhlaker
to kehna khatam ab jaldi bauhat tera safar hoga
sada abid ko woh bazar jana khoon rulae ga
kahay ga joan bus ash sham aur aanso bahae ga
na rizvi syed e sajjad sa koi bashar hoga....