Abbas Gir Raha Hai

- Joan Rizvi (2019)


maqtal main her taraf tha qayamat ka merhala
ghazi k hath kat gayay mashkeeza chid gaya
aankhoon main akey teer laga wa musibata
rahwar per sambhal na saka gurz jab laga
haider pukaray fatima tashreef layaiyaa
girta hai ran main zeen sa Abbas ayia

tha murtaza ka noha Abbas gir raha hai
bin bazuon k Zahra abbas gir raha hai

beta kaha hai tumnay aaghosh main chupao
bikhray hua hain pathar aker rida bichao
bibi tumhara beta Abbas gir raha hai

parday ki jo zamanat sedanioon ko di thi
zainab na woh zamanat wapas yeh keh k lali
aey bibion humara Abbas gir raha hai

kuch dair main chinahingay kanoon sa goshwaray
kismat main aagayay hain bibi tere tamachay
ghoray sa aey sakina Abbas gir raha hai

shabbir soch ker yeh kertay thay ran main matam
bazoo katay hua hain zeen sa giray ga jis dam
pathar pa sir lagay ga Abbas gir raha hai

sarwar pukaray zainab hafiz tera khuda ho
saidanioon ki ab tum salar e qafla ho
ab tum alam uthana Abbas gir raha hai

aik hath hai jigar per aik hath hai kamar per
ghazi k sath ran main girnay lagay hain sarwar
aik ja hussain aik ja Abbas gir raha hai

dil Aasiyain hai rota soch ker yeh manzar
khaimay main gir rahe hai zainab k sir sa chadar
jab sa koi pukara Abbas gir raha hai