Naizay Pay Janaza Hai Tumhara Ali Asghar
- Joan Rizvi (2019)
Naizay pa janaza hai tumhara Ali Asghar
tum kitnay baray ho gayay beta Ali Asghar
yeh dil main kashak reh gaye aey gaysioon walay
ghazi ki tarhan say
ghar main nahi aya tera lasha Ali Aghar
Pyaray mere tum ho gayay tum ho Allah ko pyaray
perlog sidharay
Chay(6) Mah main hi chordi Dunia Ali Asghar
ujri hai mere goud sujhaye nahi deta
tum kya gayay beta
chaya mere ankhon main andhaira Ali Aghar
Ab zeest ki kab madar e muztar main ramaq hai
yeh dil main qalaq hai
tum zibha hua Ma rahe zinda Ali Asghar
kis tarhan tere khoon bhri mayyat main dikhaon
kya us ko bataon
aya hai khat e fatima Sughra Ali Asghar
Ghazi ka bhatija hai gawara nahi hota
be parda hai kunba
band ankhain hain tere sir e naiza Ali Asghar
yeh keh k takkalum woh uthi lash sa dukhya
acha mere beta
lasha tera majlom ko sonpa Ali Asghar