Kis Tarhan Zainab e Muztar Ne Woh Manzar Dekha
- Joan Rizvi (2019)
kanpti thi yeh zameen arsh bhi thara ta tha
shimar shamsheer e sitam is tarhan chamkata tha
na haya kerta tha zalim na tars khata tha
parda khaimay ka jo uth ta tha gir jata tha
bheray shabbir qayamat ki ghari jab aye
Ya Ali kehti hui kehti hui dasht main zainab aye
kis tarhan Zainab muztar na woh manzar dekha
bhai k halq pa chalta hua khanjar dekha
innalillah ada ker kay chalay shah e zaman
aik aik nakhs e kadam choom k roti thi behan
sheh nay khaimay ki taraf jab bhi palat ker dekha
sun k halmin ki sada kahmioon sa nikli Zainab
koi baqi nahi shabbir ka yawar ya rab
aik aik lash na zainab ko tadap ker dekha
likhnay waloon na to bus itni rawayat likheen
tera zarbein mazloom ki gardan pa chaleen
hath zahra ka ne betay k galay per dekha
dhondnay bap ko aye thi magar shimar mila
guftugo kuch na hui ran main tamachoo k siwa
yun yateemi ka Sakina na muqaddar dekha
sham waloon na kahi bar uthaya tha ussay
thar thara ker sir e abbas gira naizay sa
khud ko jab shah k naizay k baraber dekha
dhondtay dhondtay beshaeer ko aye jo rabab
lash e abbas ki dekhi to kia ro k khitaab
bhaiya abbas kaheen apnay aghar dekha
jis tarhan zeen sa utray thay alam dar o alam
chaltay naqay sa yun girnay lagay thay ahlay haram
ran main bikhri lashoon ko jo be sir dekha
janay sajjad na kis dil sa woh dekha manzar
ayay jo bap ki tadfeen ki khatir abkar
sath shabbir k soya hua akbar dekha