Safar e Shaam Ki Roodaad Sunaoon Kaise
- Joan Rizvi (2019)
Safar e shaam ki roodaad sunaoon kaise
khoon rota hai qalam, aur bataoon kaise
Mout achi thi yeh Abid(as) na kaha khoon ro ker
sath saadat k bazaroon main jaon kaise
sar bharahna hai phupi aur behan sath mere
chadaar e waris e tatheer uraaon kaise
koi pathar liya ata hai koi teer o tabar
hath hain mere bandhay haye bachaon kaise
apnay ghum bhol gayeen Zainab o Kulsoom Magar
sochti theen k Sakina ko bachaon kaise
Sir e mazloom nahi berhta Sakina ghum hai
is bayabaan main ussay dhond k laon kaise
Sar bharana pasay pushat bandhay hath mere
aur darbar e yazeedi hai main jaon kaise
Maa'n issi shehar ki shehzadi hua kerti thi
qaidi ban k main ussi shehar main jaon kaise
jab Sakina ko kanizi main manga tha us dum
guzri Sajjad pa kya Joan bataon kaise