Sawal Karti Rahi Aur Mujhe Rida Na Mili

- Joan Rizvi (2019)


Mazar Syeda pa binte Syeda betheen
suna k sham ka ahwal bayan kerti theen
bahrana sir mujha ummat na kerlia qaidi
main shehr shehr main issi haal main phiraye
safar main sir bhi chupanay ki koi jaa na mili
sawal kerti rahe aur mujha rida na mili

Jalaey Khaimay Ghareebon kay aur Rida bhi chini
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Jigar ky tukroon ko qurban kerdiya amma
na maeri nasl ka  koi nishan bacha amma
Mainay apnay Bhai ko amma Magar Bacha Na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Hamara Qafla Maqtal sy jub guzara gya
Bhatijay bhai pisar bekafan  tha her lasha
Main qaeed mae bhi wo manzar kabhi bhula na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Her aik zulm py youn hosla dikhaya hai
Kay jaltay khaimoon sy abid ko bhi bachaya hai
Magar yae dukh hay Sakina ko main bacha na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Layeen Qafla taizi say yun chalatay thay
K bachay maoon ki goodi sa girtay jatay thay
Nigah yaas sa takti rahi utha na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Hamara qafla bazar e sham aur pathar
Chatoon sy kholta pani giratay thy hum par
Jo qoom piyas mae pani humain pila na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Mujhy yae waqt dikhya meri ghareebi main
Layeen ny manga sakina ko jab kanizi main
Thi Guzri kiya dil e Zainab pa who bata na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Lehad sa maan ki lipat ke woh bain kerti thi
Aey amma sham main kya kya na humpa guzri thi
Nishan rasan kay jo bazo pa thay dikha na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

Na dekh paya tha ghazi khula tha sir mera
Sina ki nook pa haye ruka na sir us ka
Chupaya moun ko to balloon sa sir chupa na saki
Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili

woh Joan parda zamanay na jis sa sekha tha
yeh haq ussi ka musalman na rizvi ka cheena tha
woh sani e zahra rida jo pa na saki