Yeh Kon Zaifa Bachi Hai

- Joan Rizvi (2019)



Sakina qaid ho ker sham k zindan jab aye
woh bachi us andhairay ghar ki tareeki sa ghabraye
muqadar nay ajab afat bhi pehli rat dikhlaye
zameen pa farsh saya fignad tha na nend na aye
phupi k sath rehti thi na ma k pas soti thi
burahna sir kharay zindan k darwazay pa roti thi

zindan k dar pa bethi hai yeh kaun zaifa bachi hai
azaad paranday takti hai yeh kaun zaifa bachi hai

shabbir sa koi rishta hai
sin char baras ka lagta hai
zindaan bhi is pa rota hai
kya zulm na is pa toota hai
marnay ki duain kerti hai
yeh kaun zaifa bachi hai

kya jurm hai is masooma ka
ronay pa laga hai kyu pehra
bachon sa bhi badlay latay hain
aisa bhi kaheen hota hai bhala
kyu is k galay main rassi hai
yeh kaun zaifa bachi hai

kya is pa nqaat taari hai
pehlu bhi badalna mushkil hai
hai kushk gala itna iska
awaz nikalna mushkil hai
lagta hai bauhat hi pyasi hai
yeh kaun zaifa bachi hai  

cheenay bhi gayay ghohar is k
kanoon sa laho hota hai rawaan
pathar bhi safar main khaye hain
chehray sa yehi hota hai ayaan
yeh sir sa pa tak zakhmi hai
yeh kaun zaifa bachi hai  

jab aanso nikaltay hain is k
zalim sa tamachay khati hai
ab sehmi hui hai yeh itni
jab yaad padar ki ati hai
darban sa chup ker roti hai
yeh kaun zaifa bachi hai  

baghi ki beti k tanay
her mor pa sunti aye hai
hai 4 baras omar magar
baloon main safadi aye hai
kya is pa na janay guzri hai
yeh kaun zaifa bachi hai  

aey mir takallum sadioon sa
yeh ashk bahahay jati hai
baba mere pyaray baba ki
awaz lehad sa ati hai
zindan sham main soti hai
yeh kaun zaifa bachi hai