Zakhmi Haider
- Shahid Baltistani (2020)
Masjid main huye zakhmi Haider zainab pay qayamat tooti hay
Ye fajr Ali ki Beti ko Ashoor Kay jesi lagti hay
Nazdeek Jo pohonchay ghar k Ali bolay ye Hasan say aey beta
ashaab say keh do Ghar jaen darwazay pay Zainab bethi hay
Zainab nay zakhmi baba Kay chehray say Lahu Jo saaf Kia
Marqad say sada di Zahra s.a nay ye karbal ki tayyari hay
Do saal Kay Hain Sajjad a.s magar Bund ankhain ki Hain ghairat say
Namoos e Mohammad SAWW ki Jo Rida girti hui Sir say dekhi hay
Ek bar shahadat baba ki ek bar shahadat Shohar ki
Afsos Kay sheher e koofa main do baar Ruqayya s.a urji hay
Wo jis nay apnay Qaatil ko sharbat say nawaza Koofay main
Aulaad ko uski Ummat nay sehra main pyaasa maari hay
Ahista Ali a.s nay di ye sada ghabrana nahi main bhi honga
Darbar main Jana hay tum ko Zainab ye Khuda ki Marzi hay
Aey Mir Takallum shor utha ub dono milengay Karbobala
Inna Lillahh Parhlo Zainab s.a baba ki sawari jaati ha