Maare gaye haider (a.s)
- Hussain Ali Rizvi (2020)
Ye arsh se jibreel sada dete hen rokar ...
mare Gaye haidar (a.s)
Afsos sad afsos ke kufe ki zamee per....mare Gaye haidar (a.s)
1) Hasnain (a.s) se puche to koi kitna hai sadma
Bas roye chale jate hen bola nhi jata
Ek dusre se Bhai yehi kehte hen rokar...mare Gaye haidar (a.s)
2) Hatho me hen talwar Uthaye huye Abbas (a.s)
Hen ghaiz me us waqt se aaye huye Abbas (a.s)
Jab se ye khabar unko sunayi gayi aakar...mare Gaye haidar (a.s)
3) Shabbeer (a.s) pa zainab (s.a) pa Reham haye na khaya
Or Eid se pehle mere baccho ko rulaya
Deti hen sada khuld se ye faatema (s.a) rokar....mare Gaye haidar (a.s)
4) Miskino yatemo ka Sahara nhi koi
Sab kehte hen ro roke hamara nhi koi
Hai kaun Jo ab hath rakhe unke Saro per.....mare Gaye haidar (a.s)
5) ABBAS , qalam rok lo jitna bhi likhoge
Haidar (a.s) ke fazail ko baya Kar na sakoge
Ye zaate muqaddas hai masayeb ka samandar....mare Gaye haidar (a.s)