Saare Aalam ka masiha hai tera sehne shifa

- Shahid Baltistani (2020)


Ya sarih ar-riza
Ya man ismahu dawa
Wa zikrahu shifa

Ya sarih ar-riza

Mawla Raza, mawla Raza

Saaray aalam ka masiha hai tera Sahn e shifa
Aye ghareeb ul ghuraba

Saani e khaak e shifa, Hai ye shifa khana tera

1.La dawa saarey mareezon nay hai sehat paaii
Teray khadmon ki badawlat ye sa’adat paaii
Yaha paani bhee nazar aata hai zamzam jaisa

2.Arsh waalo say mulaqaat yaha hoothi hai
Zindagi aakay yaahi par tho jawaa hooti hai
Tere is sahan may sehmee huwi rahti hai khaza

3.Apnay gham kay siwa har gham say churda do bhai
Apnay bemaar mohibbon ko shifa do bhai
Tum nay aamin kaha dee jo kareema nay dua

4.Sa’ee mey jab teray gumbbat kay kabih aata hun
Aasmon say kaheen aagay nikal jaata hun
Itni nazdeek say sooraj ko yaheen par deykah

Ya sarih ar-Reza, 
Allahu Akbar

5.Fajr ka waqt tha jab mujko ye ahsaas huwa
Ek hee raag tha ek hee surr tha mawla
Dil ki dhadkan say mili jab teray nawbat ki sada

6.Phir say ashoor ki tadbiir bana day mawla
Rowza e hazrat e shabeer dikha day mawla
Jaanib e karbobala khulta hai darwaza tera

Mawla raza mawla raza

Aye Reza jaan, Aye Reza jaan

Dilum meekhaad
Mera Dil chahta hay 

Her chi daaraam 
Meray paas Jo kuch hay

Nazr e imam Raza a.s kunam
Imam Raza a.s per Qurban Kardun

7.Mera kuch bhee nahi sab tayri ataa hai Sarkar
Teray baytay teri beti teray ghar par nisaar
Mera  beta mayri beti bera ghar baar raza

8.Haq takallum wo Wilayat ka adaa kartein hai
Majlis e Fatima jo qom may bapa kartein hai
Ye karam aap ka hai aur kareema ki dua

Saaray aalam ka masiha hai tera Sahn e shifa
Aye ghareeb ul ghuraba

Mawla raza mawla raza
Aye Reza jaan, Aye Reza jaan...