Hussain Ruk Jao
- Mir Hasan Mir (2020-21)
Labaik Allahumma Labaik
Labaik Allahumma Labaik
Labaika laa shareeka laka labbaik
Labaika laa shareeka laka labbaik
Hussain Ruk Jao
Hussain Ruk Jao
Hussain Ruk Jao
Sadayein deta Hai Kaaba Hussain Ruk Jao
Sadayein deta Hai Kaaba Hussain Ruk Jao
Na Badlo Hajj Ka Irada
Hussain Ruk Jao
1. Tum Apne Jadd ke Makaa'n Mein Ho, Be Dayaar Nahi
Hussain Mujhko Zamane Ka Aitbar Nahi
Hai Saath Sani e Zehra
Hussain Ruk Jao
2. Tumhare Pao'n Pakadti Hai, Sar Zameen e Haram
Khuda Ke Waste Aage Na, Ab Badhao Qadam
Na Jao Janib e Kufa
Hussain Ruk Jao
3. In Hajiyo Ki Zara Bhi, Nahi Hai Fikr Mujhe
Hai Bas Yeh Fikr Ke Gar Aap Mujhko Chod Gaye
Mera Bhi Hajj Nahi Hoga
Hussain Ruk Jao
4. Kaho Rabab Se Besheer Ko Bhi Le Ao
Ali Ki Tarha Yaha'n Par Makeen Hojao
Tumhara Bachha Hai Chota
Hussain Ruk Jao
5. Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madine Mein
Suna Hai Bibi Ko Maara Gaya Madine Mein
Arey Sunao Ghurbat e Zehra
Hussain Ruk Jao
6. Karenge Jashn Ke Yaum e Ameer Hai Nazdeek
Ghareeb e Zehra Na Jao, Ghadeer Hai Nazdeek
Padhenge Mil Ke Qasida
Hussain Ruk Jao
7. Suna Hai Karbola Mein Bala Ki Garmi Hai
Tumhe Pata Hai ise Kitni Pyaas Lagti Hai
Hai Saath Bali Sakina
Hussain Ruk Jao
8. Laeen Phirte Hain Ehraam Mein Liye Khanjar
Tum Apni Behno Ko Le Aao Kaabe Ke Andar
Har Ek Simt Hai Khatra
Hussain Ruk Jao
9. Jo Guzri Tum Pe Musibat Unhe Suna Dena
Samajh Ke Marqad e Zehra Diya Jala Dena
Yahi Hai Qabr e Khadija
Hussain Ruk Jao
10. Unhe Khabar Hai Na Chodengi Tum Ko Wo Tanha
Tumhari Maa Se Ziyada Chala Nahi Jaata
Hai Unka Phelu Shikasta
Hussain Ruk Jao
11. Wo Ghum Imaam Ka Sajjad Kis Tarha Likhhe
Nikal Ke Makkah Se Kitna Hussain Roye The
Bulata Reh Gaya Kaaba
Bulata Reh Gaya Kaaba
Hussain Ruk Jao