Ali Akber Ki Azaan
- Mir Hasan Mir (2020-21)
Akbar, Akbar..(2)
Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allah, Allahu Akbar
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
Akhri fajar hai yeh..(2)
is moaazin ke liye, phir yeh awaaz kaha'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
1. Dasht mein pyaase moazzan ne, jo takbeer kahi
Aagayi apne musalle pe, Ali ki beti
Yaad phir aayi use, Apne Baba ki azaa'n
ro padi aun ki maa
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
2. Abhi kuch der salamat hai, haram Ka parda
Sham ke waqt jab ayegi, azaano ki sadaa
Jaa'n bachane ke liye, sar chupane ke liye
chadarein hongi kaha'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
3. Roke bete ne kaha baap se, hasrat hai meri
Aap ki behen to sun leingi, sadaa Akbar ki
In hawaon se kahein, rukh madine Ka karein
meri sughra hai waha'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
Ash hadu anna mohammad ar rasoolallah
4. Naam aaya jo Mohammad ka, to roye maula
Inna lillah padha aur yeh ghazi se kaha
Is ko maarenge sinaa, yeh musalmaan bhala
rehem khayenge kaha'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
Ash hadu anna ameer al mo'mineena wa imam al muttaqeena
aliyun hujjatullah...
5. Aaya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha
Mai fida aap pe Baba meri aulaad fidaa
Teer Asghar ke lage, seena Akbar ka chide
mujh pe khanjar ho rawa'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
6. Kitna tadpega Hussain ibn e Ali aye beta
Teri maa, teri phuphi, teri sakina, sughra
Jee nahi payeinge sabhi, tujh ko barchi Jo lagi
tujh mein hum sabki hai jaa'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
7. Masjid e kufa nazar aane lagi karbobala
do azano pe bohot royi, hai bint e zehra
Aaj tak bhooli nahi, ek baba ki azaa'n
ek Akbar ki azaa'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
8. Kis qadar dard mein doobi thi sadaa Akbar ki
gash se uth kar kaha Sajjad ne batlayein phuphi
Sub kyu rote hai yaha'n, shor hai kaisa bapaa
kaun deta hai azaa'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
9. Kaise manzar ho bhala mir takallum ho raqam
baab e sa'at pe hui satra(17) azane jis dam
Sun ke ek-ek azaa'n, ro ke kehti thi wo maa
mere Akbar ho kaha'n
Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni
Ali Akbar ki azaa'n
Allahu Akbar..