Ruqaiyya Ujar Gayi
- Shahid Baltistani (2020-21)
Haey Muslim, Haey Muslim as
Haey Muslim, Haey Muslim as
Aey Muslim E Ghareeb as
Aey Muslim E Ghareeb as
Karbobala Say Pehly, Ruqaiyya sa Ujar Gayi
Karbobala Say Pehly, Ruqaiyya sa Ujar Gayi
Muslim as Ki Laash Kofay, May Be-aasra Howi
Kiya Haal Kardiya Hay, Safeer E Hussain as Ka
Zakhmo Say Choor Choor Hay Damaad E Murtaza as
Phir Kofa Roney Aai, Hay Beti Batool sa Ki
Logo'n Ziraa Ko Bech Kar Dena Mujhe Kafan
Mil Jayen Jab Pisar Mere, Pohanchana Tum Watan
Muslim as Ki Pori Koi, Wassiyat Na Ho Saki
Muslim Hay Bey Dayaar, Kisi Ko Nahi Khayal
Kiya Hoga Karbala May, Yeh Kofay Jab Hay Haal
Syed as Shaheed Hota, Hay Hanstey Hain Ummati
Beyton Ko Intezar Tha Wo Laut Aynge
Behno Ki Eid Hogi Galay Jab Lagaynge
Baba, Baba
Haey Baba, Kay Badlay Unsey Yateemi Galay Mili
Haey.!
Do Ungliyun Kay Darmiyan Dekho To Bhai Jaan
Khanjar Galay Pey Kofay May Muslim as Kay Hay Rawaan
Yeh Baat Roo Kay Ghazi as, Say Shabbir as Nay Kahi
Ek Eid Kay Qareeb Howey Baap Say Juda
Ek Eid Per Behan Ka Bhara Ghar Ujar Gaya
Abbas as Dono Eido'n Pey Rotey Hain Aaj Bhi
Qabr E Batool Per Gayi Ek Khaali Gaud Maa
Sajday Kay Sath Aankh Say Aanso Howey Rawaan
Ummal Baneen sa Ko Jab Yeh Takallum Khabar Mili