Mere Ghar Hai Hussain Ki Majlis
- Ali akbar ameen (2020-21)
Farsh matam ka me bichaunga ..Mere Ghar hai Husain ki majlis
Ghar azakhana me banaunga ..mere Ghar hai Husain ki majlis
Aane dunga na kuch pareshani
Hogi ahle aza ki mehmani
Ali asghar ki nazr dilwakar
Baade majlis sabeel ka Pani
Har azadar ko pilaaunga...mere Ghar hai...
Shahzadi ka ye Karam hoga
Shahe Wala ka Ghar me gham hoga
Taaziya hoga sehne khana me
Chath paa Abbas ka Alam hoga
Ahle dunia ko me dikhaunga..mere Ghar hai Husain ...
Dekho ye hai Husain ka mimbar
Or ye farshe majlis sarwar
Or wo mashk hai sakina ki
Jo bandhi hai Alam ke panje per
Sare baccho ko ye bataunga ...mere Ghar hai Husain
Naujawano ko parchame maula
Maao behno ko dunga sar ki Rida
Baaliyaa bacchiyo ko bantunga
Or baccho ko jhula asghar ka
Naame sarwar pa Sab lutaunga...mere Ghar..
Kar Raha hu me matame sarwar
Zeest ki fikr hai na maut ka dar
Ab ajal jo bulane aayegi
Usse keh dunga thodi der thehar
Matame shah karke aaunga.....mere G
Ho koi waqt ya koi mosam
Khul KE karna hai shah ka matam
Har azadar roke kehta hai
Zakhme sarwar ka Jo bane marham
Ashk aankho se wo Bahaunga ...mere Ghar
Haye aezaz phir ye paa na saka
Rozaye shaih pa sar jhuka na saka
Keh Raha hai Husain ka zayer
Kya hua karbala Jo ja na saka
Is baras unko me bulaunga...mere Ghar hai
Chand kheme laga KE rakkhunga
Chand roze saja KE rakkhunga
Ek Alam mashka or khake shifa
Ek masnad pa lake rakkhunga
Ghar ko he karbala banaunga ....mere Ghar hai husain
Binte shahe Madina aayegi
Sham se wo hazina aayegi
Sath sajjad or zainab ke
Ghar me jis dam sakina aayegi
Nauha Abbas ka sunaunga ..mere ghar
Jo rawayat padhi ye jati hai
Ye sabhi ko bohtt rulati hai
Apne bacche ka pursa lene ko
Ek pehlu shiksta Aati hai
Sath zehra ke or ek bibi
Apne Bhai ko rone aati hai
Naam hai jiska saniye zehra
Shukria Sab Ada Karo uska
Jis ne qatil ke Ghar me Bhai ka
Sabse pehle bichaya farshe aza
Unko mehmaan me banaunga....mere Ghar hai Husain ki majlis
Hai ye "ABBAS" ki Dua zehra
Or "AKBAR" ki ilteja zehra
Is waba se nijaat mil jaaye
Jald bulwa lo karbala zehra
Phir ye nauha wahi sunaunga...mere Ghar hai Husain ki majlis
AKBAR SIRSIVI