Aey Mere Be Zabaan
- Mir Hasan Mir (2020-21)
Haye asghar, mere asghar..(2)
Aye raaj dulare asghar, maa tujhko pukare asghar
meri aankh ke taare asghar, aaja mere pyaare asghar
Aye mere be zabaa'n, tum reh gaye Kahaa'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
Chehra wo chaand jaisa..(2)
kaise bhulai maa
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
Aye mere be zabaa'n, tum reh gaye Kahaa'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
1. Kyya waqt aagaya hai, bano ki bekasi par
Ghurbat pe tere matam, kaise karegi ki madar
Aada ne bandh di hain..(2)
hatho'n mein rassiya'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
2. Himmat pe maa tumhari, qurbaan kyu na jaye
Sunti hu teer khakar, tum ran mein muskuraye
Maadar ki laaj rakh li..(2)
shabaash meri jaa'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
3. Maadar ki hai wasiyat, beta khayal rakhna
Godi mein inki Asghar, jane ki zidd na karna
Pehle hi hai shikasta..(2)
dadi ki pasliya'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
4. Kya zere khaak ab bhi, soye ho mu chupaye
Maa saari bibiyo'n se, sharminda ho na jaye
Har ek shaheed Ka hai..(2)
sar barsar e sina
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
5. Dushwar hogaya hai, ghum mein tumhare jeena
Ab khali god jaa kar, maa kya kare madina
Mujh ko wahi bula lo..(2)
aye laal ho jaha'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
7. Haaye,
Sansein to chal rahi hai, zinda kaha'n rahi hai
Maa Zindagi se apni, aazadi chahti hai
Mushkil khusha ho tum bhi, khulwado bediya'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
8. Jungle mein ek beta, aawaz gunjti hai
Yeh soch kar bhi madar, maqtal mein ro rahi hai
Lagta hai dard se tum..(2)
lete ho siskiya'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
9. Yeh ujdi god beta, kaise sukoon paaye
Haalat pe teri maa ki, haste hai shaam wale
Daaman mein hai tumhare..(2)
jhoole ki lakdiya'n
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa
10. Rote the sab takallum, ek maa ne jab Kaha tha
Paigham Karbala mein, jakar hawa yeh dena
Zindaa'n ke dar pe ab bhi..(2)
baithi hai ek maa
Asghar jiyegi kaise, tere baghair maa