ay alam afraashte bar sare karbobala
- Nadeem Sarwar (2013)
ay alam afraashte bar sare karbobala
quwate bardaashte bar sare karbobala
kehte the shaahe umam bar sare karbobala
uth zara lehra alam bar sare karbobala
ghaazi alamdaare man
khiz ze jaa o mazan shole be daamaane eshq
miravi o mishavad chaaq gharibaane eshq
sowte haram gush kon mashqamo borde ast
khiz be pa ya akhaa vaqte alamdaari ast
kaare yatimaane man va atash o zaari ast
ay mere khasta jigar kha gayi tum ko nazar
kaisa shakistaa hai sar khun me ho tar batar
sote ho tum to idhar rote hain bachhe udhar
jin ko nahi hai khabar ammu na aayenge ghar
ghaazi alamdaare man koshta e teghe jafaa
ay mere bhayya suno aaj to bhaayi kaho
khaak se ab to utho aawo chalo ghar chalo
chal ke bahen se milo pyaar sakina ko do
gaud me asghar ko lo apna alam le chalo
ghaazi alamdaare man deti hai zainab sada
naame to jaan mibarad baaz baraadar begu
montazerat zainab ast biya o khaahar begu
jaaneman ay khasta dil javaabe dokhtar begu
biya o kissa e aab baraaye asghar begu
aah panaaham bebin zamaane biyaari ast
haaye akhi alwida shere jari alwida
ibne ali alwida jaan chali alwida
ay sakhi ibne sakhi haaye teri bekasi
karte hain sina zani sarwar o rehaan bhi
ghaazi alamdaare man zinda rahe tu sada