Beti Ali Ki
- Mir Hasan Mir (2020-21)
Haye beti Ali ki..(4)
Reh gayi beti Ali ki ghum uthane ke liye
Zakhm khane ke liye, aa'nsu bahane ke liye
Waris e tatheer be parda khadi hai dasht mein
Ek chadar bhi nahi hai sar chupane ke liye
Layi thi do phool apni godh mai umm e rabab
Ek maqtal ke liye, ek qaidkhane ke liye
Dhundne nikle Hai aada pusht e khaima ki taraf
Lasha e besheer naize per uthane ke liye
Nauk e naiza per utha ker shaam ke bazaar mai
shimr lehrata tha chadar dil dhukane ke liye
Aate jate jis ko dekho, zulm karta hai shadeed
Pusht e Abid reh gayi hai taziyane ke liye
Baarha Zainab hai guzri shaam ke bazaar mein
sayyed e Sajjad ko zinda bachane ke liye
Rote rote jarahi hai bachhi suy e alqama
Neel rukhsaron ke ghazi ko dhikane ke liye
Gir ke Akber ne sada di jab to Zainab ne kaha
Bhai mai bhi chal rahi hun laash uthane ke liye
Maangne aaya hai bachi ko kaneezi mein laee'n
Ab to ajaao mere, ghazi bachane ke liye
Tharthara ka r reh gayi qabr e Nabi yasir raza
Ayi jab rudad e gham zainab sunane ke liye