Baraaye dile dukhtar

- Nadeem Sarwar (2013)


Baraaye dile dukhtar

haaye hussaina
ay vaay sakina

ye rukhsate aakhir hai pukaare shahe waala
ay zainab o kulsum rabaab aur ruqayya
tum sab pe salaam aakhri allah ko sonpa
lipti huwi qadmo se ye kehti thi sakina

ay kul ke madadgaar madad karne ko aawo
ya fatema zehra mere baba ko bachaawo

baba na kaho baba tum saath raho baba
kuch ham se suno baba aage na barho baba
aaraam karo baba baraaye dile dukhtar
baraaye dile in dukhtar khaime me chalo baba

juyam be koja baba dar dasht to ra baba
nazdam to biya baba yaad az in wafa
lutfan benuma baba baraaye dile dukhtar
baraaye dile in dukhtar ay baba ma ro baba

mein jaan gayi baba pechaan gayi baba
qurbaan gayi baba talwaaron me jaawoge
phir tum bhi na aawoge baraaye dile dukhtar
baraaye dile in dukhtar tum ham ko tarpaana

aaya dokhtaret nistam yekta goharet nistam
noore nazaret nistam ya hamsafaret nistam
gar bargardi man nistam baraaye dile dukhtar
baraaye dile in dukhtar bargard o biya baba

baba ay mere baba laazim hai agar jaana
ye ham se karo waada jab shab ka ho sannaata
aur meri sada sunna baraaye dile dukhtar
baraaye dile in dukhtar tum lot ke aa jaana

babaye mani baba lazem shode gar raftan
in waadeye ma baashad dar taarikiye shab ha
bishno chun sadaaye man baraaye dile dukhtar
baraaye dile in dukhtar baaz aayi baraaye man

sheh bole sakina jaan sau jaan se mein qurbaan
is tarha na ho girya ek waada nibhaana hai
ek qarz puraana hai baraaye dile dukhtar
baraaye dile baba tum aaj dua karna

pursa hai paa e maula rehaan o ali jee ka
karte the haram nauha sarwar ne kaha beti
saa'at hai judaayi ki baraaye dile dukhtar
baraaye dile baba maqtal na chali aana