Abbas Sa Bhai

- Mir Hasan Mir (2020-21)


Jab hue bazu e Abbas qalam darya par
Gir ke thanda hua hazrat Ka alam darya par
Garq e khoo'n hogaya wo behr e karam darya par
Ghul tha zakhmi hua saqqa e haram darya par
Mashk ko danto'n mein pakde hue yu laata hai
Dahn e sher mein jis tarha shikaar aata hai

Algharaz lasha e Abbas pe aaye maula
Sar ko zaanu pe rakha aur yeh ro ro ke kaha
bhai to aaj hamein keh do khudara bhaiyya
Nazah mein bhai ko, Abbas ne Bhai bola
aakhri saa'ns li aur daar e fana chod diya
bhai ne bhai ki, aghosh mein dum tod diya

Abbas haye Abbas, Abbas haye Abbas..(2)
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai..(2)

Pardes mein looti gayi..(2)
Haider ki kamayi
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai..(2)

1. Sheh ne yeh kaha lasha e saqqa e haram
Baba ki tarha tum bhi juda hogaye hum se
Do baar yateemi meri behno pe hai aai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

2. Mazloom se maqtal mein chala hi nhi jata
Jab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaata
Ghazi ki shahadat ne kamar aisi jhukai 
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

3. Bachhi ne kaha shaah se farz apna nibhau
Nazdeek agar hai koi basti to mai jau
Ammu ka kafan layegi, ammu ki fidai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

4. Abbas ke bachho'n se mai sharminda rahunga 
Maqtal se utha laaya hu, har ek Ka lasha 
Afsos ke Abbas ki, mayyat na uthai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

5. Khat khaak pe dete the, qadam Zeen se jiske
Maidan mein us sher ke, itne hui tukde
Sajjad ne chaadar mein wo, mayyat hai uthai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

6. Darya bhi tadapne laga yeh dekh ke manzar
Yaad aane laga seena e ham shakl e payamber
Jab mashk kate hath se mola ne chudai 
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

7. Sadyo se hai taari ye fizaa ranj o alam ki
Yeh chaand jo aujhal hua nazro se haram ki
Phir sani e zehra ne kaha Eid manai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

8. Ammu ki judai pe bohot roye hai baba
Samjhati hai ro ro ke yeh bachho ko sakina
Ab dena nahi koi bhi, pani ki duhai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

9. Har matami seene mein bapaa hoga talatum
Is Saal tera jaana, to mushkil hai takallum
Nohay ki magar karb o bala tak hai rasai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai