Jibreel aur Karbala

- Meesum Abbas (2020-21)


Haa....
Jab tisri shaban ko aya gul-e-Zahra (sa)
Shabbir (as) ko godi me Muhammad (saws) ne uthaya
Haddar jo khushi se rukh-e-masoom ko dekha 
Itne me sada dar pe yeh Jibreel (as) ki aayi
Ya saiyadi qurbaan duhayi hai duhayi

Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka 3

1) Loh-e-mehfooz ek ek satar laya hu
Ek tehrir hai purdard magar laya hu
Ek safar nama-e-magh mu-e-jigar laya 
Din khushi hai magar ghum ki khabar laya hu
Dil me hai khanjar Loha zaba'n par

Saiyadi -3 salamalayka

2)Sath mehzar ke me wo khaak-e-shifa laya hu 
Saari duniya ke liye ghum ki dawa laya hu
Umme Salma(sa) ki zaaefi ka asa laya hu 
Yani rumaal me maqtal hi chhupa laya hu
ispe girega khoon-e-bahattar

Saiyadi -3 salamalayka

3)Sunke Jibreel(as) ki faryad Muhammad (saws)ne kaha kya hai mehzar me likha-2
mujhko sunao to Zara
Roke kehne laga Jibreel(as)meri jaan fida
Aapke pyaare nawase ka shahadatnama
Karbobala main jaayga dilbar

Saiyadi-3 salamalayka

4)Bole Jibreel(as) padho mehzar-e-ghum bade salam
Isme shamil hai shahido ke asiro ke bhi naam
Akraba ahl-e-haram chand kanizo aur gulam
Koi maqtal me rahega to koi jaayga shaam
Koi hai be sar koi khule sar

Saiyadi-3 salamalayka

5)Roz-e-jumma hai likha aur san iksath hijri
Aap ke pyaare nawase ki shahadat hogi
 Aap honge na Hasan(as) honge na Zahra(sa)-O-Ali(as)
Sunke Halmin ki sadae bhi na aayga koi
Hoga akela naaz sh-e-Haidar(as)

Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-3

6)Ya Nabi(saws) aapki ummat yeh sitam dhaygi
Jab su-e-Karbobala Shah(as) ko bulwaygi
Aapki aar Madine me na reh paygi
Aapke baad yeh duniya hi badal jaygi
Jaayge maqtal chhordh ke jab ghar 

Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-3

7)Joun(as)-o-Hur(as) aur Habib(as) ibne Mazahir Asadi
Kaise jaabaz wafadar hai Wehbe kalani
Qasim(as)-o-Akbar(as)-o-
Abbas(as) alamdar-e-jari
Haye Asghar(as)-o-Aun(as)-o-
Muhamma(as) bhi hai kamsin hi sahi
Shamil-e-mehzar hai yahi lashkar

Saiyadi-3 salamalayka

8)Haye ab dekhiye Jibreel(as) ki aakho'n se yeh manzar
Ashur ki woh subeh azan-e-Ali Akbar(as)
Ek pyase ko har simt se ghere hai sitamgar
Wo naiza wo paikan wo talwar wo khangar 
Maqtal ke wo muazir ka Laasha sar-e-maqtal 
Barchi ka nishaa'n sine pe ek tuta hua pal
Talwar se ek turbat-e-besheer ba nana
Turbat pe phir ek soya hua chand chhupana
Phir kaapte hoto se yeh zamee'n ko yeh batana 
Asghar(as) tera mehma'n ise jhoola jhula na
Pani jo maya sar na hua haya duhai 
Ashko rida turbat-e-Asghar(as) chadhai
Wo asr ka hangam ghadhi qatl ki 
Jab Shimr(la)ne ek pyase pe talwar chalai
Ek ret ke tire pe gayi Zahra(sa) ki 
Maqtal me behen ro ti rahi 
Naize pe bhai
Manzar wo baya'n kaise kare "Mesum o Mazhar"
Baba se kaha Fatema Zahra(as) yeh rokar
Are loot jayga jab dasht-e-bawa me mera ghar
Roe go kaun bhala mere bachche jakar
Beti se farmane lage Ahmad-e-Mukhtar 
Ta hashr ise roe ge duniya me azadar