Shabbir Ka Matam Hoga Sada
- Miscellaneous ()
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
1. YE IBNE ALI KA MATAM HAI
ABBASE JARI KA MATAM HAI
AULADE NABI KA MATAM HAI
DETE HAI SADA YE ARZO SAMA
2. SAR RAKHTE RAHE TALWARO PAR
KHANJAR KI CHAMAKTI DHAARO PAR
HAM CHALTE RAHE ANGARO PAR
SHABBIR KA MATAM FIR BHI KIYA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
3. HAR DAUR NE HAMKO ROKA HAI
AUR ZULMO SITAM SE PARKHA HAI
TAREEKH NE LEKIN DEKHA HAI IS GHAM KA NA SAUDA HUMNE KIYA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
4. MATAM KO JO BID’AT KEHTA HAI
WOH BUGHZ NABI SE RAKHTA HAI
FATWO SE KAHA YE RUKTA HAI
TA HASHR YE MATAM HOGA BAPA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
5. MATAM KE SABAB HUM ZINDA HAI
JO ISSE ALAG HAI MURDA HAI
DUSHMAN JO HAI WOH SHARMINDA HAI
HAR DAUR ME MATAM HOTA RAHA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
6. JO RAAH ME ISKI AAYEGA
DUNIYA SE WAHI MIT JAYEGA
MUH KI YE ZAMANA KHAYEGA
ROKE NA RUKEGA AHLE AZAA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
7. ZAINAB KI TAMANNA HAI MATAM
FITRAT KA TAQAZA HAI MATAM
KUDRAT KA IRADA HAI MATAM
MATAM KE SABAB KHUSH HUMSE KHUDA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
8. JO SHEH KE ALAM ME ROTA HAI
WOH DAAGH E NIDAMAT DHOTA HAI
KISMAT KA WAHI HUR HOTA HAI
MILTI HAI USE ZEHRA KI DUA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA
9. MATAM HAI ZAMANAT KAUSAR KI
JANNAT HAI MOHOBBAT SARWAR KI
BACCHO HAI WASIYAT QAISAR KI
MATAM SE NA GHAFIL HONA ZARA
SHABBIR KA MATAM HOGA SADA, ZANJEER KA MATAM HOGA SADA