Hai Waqt-e-Azaan
- Hassan Sadiq (1994)
Hai waqt-e-azaan aa Ali akbar azaan de
Bole pisar se sibte-e-payambar azaan de
1.Ye aakhri azaan hai sajda bhi aakhri
arsh-e-bari pe sunte hai aaider azaan de
2.Thandak milay rasool ke rauze pe mere laal
ek aag si hai seene ke andar azaan de
3. Naam-e-khuda rasool ka baakhi rahega deen
is deen ke baqa ke muqaddar azaan de
4. Kehti hai ye madine se ye aati hui hawa
sughra bhi muntazir hai biradar azaan de
5. Fauj-e-adoo ko haq ki sadaqat dikhaai de
naad-e-ali ke zor par uthkar azaan de
6. Jiska gala nabi kai labon ki ho janamaaz
phir wo gala na kyon tah-e-khanjar azaan de
7. Chalte hai teer kitne namazi hai khoon may tar
ay mere laal sabr se sehkar azaan de
8. Rehaan ye namaaz-e-aqeedat ka waqt hai
nowho ko tu azaan banakar azaan de