Hussain Saeen

- Meesum Abbas (2020-21)


Ya hussain ya hussain (×2)

Shah ast hussain
Badshah ast hussain
Deen ast hussain
Deen panah ast hussain


Maa naukar maula saeen anjo(×2)
Haan karbal ware saeen anjo
Mere syed mere sardar
Karo apna karam sarkar

Hussain saeen (×4)

Mere syed mere sardar
Karo apna karam sarkar

Hussain saeen (×4)

Wallah tere ibne haider
Charche hai sakhawat ke ghar ghar
Rahib ko diye hai saant pisar
Man misli hai fitroos ke lab par 
Ham par bhi mehez ek baar 
Karo apna karam sarkar 
Hussain saeen (×8)


Tum murshid ho tum aaka ho 
Ham mangte tum andaata ho
Ham adna hai tum aala ho
Ham maulayi tum maula ho 
Tum karte nhi inkaar 
Karo apna karam sarkaar 
Hussain saeen (×8)


Allaho nabi ke pyaare ho
Zehra ke raaj dulare ho 
Quraan e ali ke paare ho
Tum chashme hasan ke taare ho
Kudrat ka hasin shahkaar 
Karo apna karam sarkaar 
Hussain saeen (×8)


Hai wird bari ajmeri ka 
Kehna hai shams noorani ka
Bolay har bait bhitayi ka
Naara hai laal shehwani ka 
Hai tera khula darbaar 
Karo apna karam sarkaar 
Hussain saeen (×8)

Sindh walo ki hai shaan yahi
Mehran ki hai pehchaan yahi
Har lab par hai elaan yahi
Apna toh hai imaan yahi
Hum apke ke hai hubdar 
Karo apna karam sarkar 
Hussain saeen (×8)

Kayo maula saeen manzoor dua
Mukhe bhi ghurayo karbobala

Karbala karbala (×2)

Tumse hai muallah karbobala
Hain noori tajallah karbobala
Kaabe ka hai kaaba karbobala
Nabiyon ka musallah karbobala
Karte hai dua zawar 
Karo apna karam sarkar 
Hussain saeen (×8)

Khaliq ki mohabbat mil jaye
Naukar ko ijazat mil jaye
Maula ye saadat mil jaye
Hum ko bhi shahadat mil jaye 
Kehte the sabhi ansar 
Karo apna karam sarkar 
Hussain saeen (×8)

Abbas ka lasha wawaila
Akbar gaya mara wawaila
Tum reh gaye tanha wawaila
Yeh sabr tha kaisa wawaila 
Kehti hi rahi talwar 
Karo apna karam sarkar 
Hussain saeen (×8)

Jawad aur mesum ki hai sada
Hum tere bhikhari hai maula
Joh rizq bhi hai humko milta 
Hain sadqa tere asghar ka 
Hum tere hai namakhar
Karo apna karam sarkar 
Hussain saeen (×8)

Ya hussain ya hussain (×3)