Har Ghar Mein Sada Matam
- Ali Deep Rizvi (2020)
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain (a.s).. (2)
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho.. (2)
Farsh E Aza Se Maqsad E Shabbir Ada Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho.. (2)
Majlis Hai Fareeza Ise Ji Jaa'n Se Nibhaao,
Haq Walon Ki Qurbaaniya Duniya Ko Batao,
Iss Tarha Bayan Fikr E Shahe Karbobala Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho.. (2)
Yeh Rasm Nahi Razm Hai Yeh Deen Ki Baqa Hai,
Yeh Marefat E Ishq Hai Yeh Aazm E Wafa Hai,
Jo Jaan Gaya Samne Baatil Ke Datta Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho.. (2)
Fitrat Ne Agar Iss Se Saliqa Nahi Sikha,
Jeena Ka Agar Iss se Tarika Nahi Samjha,
Phir Kuch Bhi Nahi Rasta Isne Jo Chuna Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Isaar Hai Izhaar Hai Jura'at Hai Ita'at,
Ikhlaas Hai Imaan Hai Aur Hausla Himmat,
Kaamil Woh Baseerat Yeh Jise Raaz Mila Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Yeh Karbobala Ne Hume Izhaar Diya Hai,
Kam Log Hoon Khalees Hoon Yeh Kirdar Diya Hai,
Woh Hurr (a.s) Hai Is Soch Pe Rastey Pe Chala Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Cheh(6) Maha Se Batteez(2) Baras Aazm Rawa'an Hain,
Shashmaah Jawaan Peer
Har Ek Shakhs Jawaan Hai,
Hukme Imam Pe Jahan Sar Sabka Jhuka Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Jo Bhul Chuke Hain Inhe Paigham Sunado,
Har Roz Hai Ashura Zamane Mein Batado,
Halmin Ki Sada Se Agar Paigham Liya Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Rona Gham E Shabbir Mein Hai Apni Ibaadat,
Yeh Ho Nahi Sakti Hai Qaza Yeh Hai Saadat,
Pehle Hai Wajibaat Yehi Haqq E Sada Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Yeh Kisne Kaha Rookdo Hargeez Na Rukega,
Yeh Matam E Shabbir Yeh Nauha Bhi Rahega,
Jabtak Badan Se Momino Yeh Sar Na Juda Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Yeh Khoon Amanat Hai Isse Warna Hoga,
Asr E Yazeediyat Ko Hume Marna Hoga,
Likhta Hai ALI DEEP Fareeza Yeh Ada Ho...
Har Ghar Mein Sada Matam E Shabbir Bapa Ho..(2)
Shabbir Bapa Ho,
Shabbir Bapa Ho...