Aah Ya Hussain (as)

- Irfan Haider (2020-21)


Hussain Ya Hussain Ya Hussain 

Bayaan Karta Hu Mai Waqt e Asr Ka Manzar
Tha Ek Khushk Gala Aur Shimr Ka Khanjar
Mayaane Khanjar o Sir Thi Hussain Ki Madar
Jo De Rahi Thi Sada Bekhata Hai Mera Pisar

Kaha Ye Narm Gala - 2
Aur Kaha Ye Kund Churi
Hai Teen Roz Ka Pyaasa Hussain Ibn Ali

Ya Hussain - 6

Ek Sayyed Ko Pardesi Ko Mehmaan Banakar Lut Liya
Dasht Me Gunj Utha Zehra Ka Nauha
Aah Ya Hussain
Na Maro Na Maro Na Maro - 2

1. Mai Maa Hu Bata Mai Kaise Dekhu Ye Dard Ka Manzar
Sukha Hai Gala Pyaase Ka Tu Rokle Apna Khanjar
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Ye Meri Saari Duniya Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra....

2. Abbas e Jari Ke Baazu Kaate Gaye Ran Me Haaye
Ek Din Me Mere Bache Ne Kya Kya Na Zakhm Uthaye
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Abbas Ke Baad Ye Tanha Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra....

3. Allah Re Jis Dam Akbar Ghode Se Zameen Par Aaya
Shabbir Ko Us Sadme Ne Ghutno Ke Bal Chalwaya
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Ham Shakle Nabi Ka Baba Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra....

4. Arman Dile Shabbar Ke Yun Karbobala Me Bikhre
Chunta Raha Maqtal Me Ye Qasim Ke Badan Ke Tukde
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Ye Laasha Dhund Ke Laaya Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra....

5. Sine Pe Lahoo Akbar Ka Chehre Pe Lahoo Asghar Ka
Shaano Pe Lahoo Lashkar Ka Kya Haal Hua Sarwar Ka
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Ye Tere Nabi Ka Nawasa Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra....

6. Hur John O Habib Aur Muslim Maare Gaye Ran Me Pyaase
Laaya Hai Utha Ke Tanha Maktal Se Sabhi Ke Laashe
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Kyun Itna Ise Tadpaya Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra....

7. Irfan e Aza Ka Akhtar Chamkega To Sab Dekhenge
Har Zarb Pe Ye Zalim Se Mai Kehti Rahi Ye Roro ke
Khuda Ke Liye Ise Chod De - 2
Ye Ahle Azaa Ka Qibla Hai
Dasht Me Gunj Utha Zehra.... 

Hussain Bekafan Hussain Bekhata Shahide Karbala Bina e La Ilaah