Zainab sada musalle pa royi Ali ke Baad
- Shahbaz Ali Khan (2019)
Haye Baba, Haye Baba- 2
Zainab sada musalle pa royi Ali ke Baad
Jab bhi namaz e Fajr..2
Ada ki Ali ke Baad
1) Ek roz bazu chooma tha baba ne kis liye
Beti Ali ki rone lagi bass ye sochke
Baazu mein reesma jo bandhegi Ali ke baad
2) Madar ki TOOTI pasliyan Baba ka zakhmi SAR
Is gham mein mubtila raheeñ Zainab ba chashme tar
Kis tar'h zindagi hai guzaari Ali ke baad
3) Meeskinon yateemon ki madad kaun ab kare
Duniya mein bekasoñ ke madadgaar na rahe
Kufe mein cha gai hai udasi Ali ke baad
4) Ismat ke khandaan pa kaisa sitam hua
Bachoñ ke sar pe baap ka saya nahi raha
Hasnain PA CHAI HAI YATEEMI Ali ke baad
5) Weeran ho gayi hai ghareebon ki zindagi
Hathoñ se unko khana khilate they khud ALI
Unki kisi ne PHir na madad ki Ali ke baad
6) Aalam tamaam khoon ke aansu bahayenge
Hasnain apne baba ki mayyat uthayenge
Bechainiyañ badhengi ZAMEEN ki Ali ke baad
7) Ashkon se haay tar hua jata hai musalla
Zainab ko bar bar yaad aate hain Murtaza
Kiuñ kar sahegi aisi judaai Ali ke baad
8) TUKDE JIGAR KE DEKHNA BAQI HAIN HASSAN KE
KHANJAR CHALEGA SHAAH PE ZAINAB KE SAMNE
IMDAAD KO NA AAEGA KOI ALI KE BAAD
9) Gham mein pidar ke faaqoñ pe faaqe kiye gaye
Aulaad e Murtaza ne woh "Aadil" sitam sahe
Hain ashk sabki aankh se jaari Ali ke baad