Bazaar aa raha hai

- Shahbaz Ali Khan (2020)


Haye Sajjad Haye Haye Sajjad

Sajjad e natawan Ko gham ye rula Raha hai
Bazaar AA Raha hai----- 2

Badal musibaton ka har simt cha Raha hai
Bazaar AA Raha hai

1) BIMAR ke pairon mein Zanjeer yun bandhi hai
Woh unki haddiyon mein pewast hogayi hai
Ye dekh kar bhi zalim durre Laga Raha hai

2) Abid KI GHAM ME AANKHEN AANSU BAHA RAHI HAIN
BALON SE BIBIYA'N MUNH APNA CHHUPA RAHI HAIN
AADA BHI Naam unka sabko Bata Raha hai

3) Zanjeer Ko sambhale YA BEDIYAN SAMBHALE
Pairon mein natawan ke UBHRE HUYE hain chale
Purkhar raston PAR zalim chala Raha hai

4) SHARMA RAHI HAIN ZAINAB GHABRA RAHI HAIN FIZZA
KULSOOM RO RAHI HAIN BECHAIN HAIN SAKINA
SARWAR KA SAR SINA PAR AANSU BAHA Raha hai

5) BAZAR E SHAM AAYA TOH Haye BAGHIYOn NE
AALE NABI KO MARA
PATHTHAR SE shamiyon ne
JIS Simt DEKHO zalim Naiza DIKHA RAHA hai

6) Abbase bawafa ki behno ka sar khula hai
Kisko bulaye Zainab yeh sakht marhala hai
Saidaaniyon Ko zalim dar dar phira Raha hai

7)  MUSHKIL KUSHA KI BETI MUSHKIL ME IS QADAR HAI
TANHAYION KA AALAM KHAM BIBIYON KA SAR HAI
BAZAR E SHAM HAAYE nazdeeq aa Raha hai

8) Shahbaz Aur Aadil Sajjad pe jo guzri
Majme mein shaamiyon ke hain betiyan Ali ki
Beta hussain ka yun sadme utha raha hai 

Bazaar aa raha hai