Hata jab se tera saaya
- Shahbaz Ali Khan (2020)
Haye Baba, Haye Baba.. 2
Mere sar se mere baba hata jab se tera Saaya-2
KahaaN Zehra rahi Zehra-2 Hata jab se tera saaya
1) Tumhari laadli ko ab jawaaN Kaise bulaoge
Mujhe iss haal mei baba KahaaN pehchaan paaoge
Hai badla rang baaloN ka-2 Hata jab se tera saaya
2) Woh balligh waali aayat ko, woh Haider se mohabbat ko
Ghadeer e Khum ke mimbar ko, woh ailaan e wilayat ko
Bhula baithi hai sab duniya-2 Hata jab se tera saaya
3) Kabhi dar ko mere Aakar,jalaya jaata hai baba
Kabhi Darbaar mei bulwa ke kehte hai Mujhe jhuuta
Mera dushwaar hai jeena-2 Hata jab se tera saaya
4) Teri zahra pe aye baba-2 huwa hai zulm is tarah
Agar din pe woh paDte,raat mei woh din badal jaata
Zara socheiN huwa kya kya-2 Hata jab se tera saaya
5) Main aksar Sochti hoon yeh,batau aapko Kaise
Mere rukh par zara dekhein nishaN zalim ke haathoN ke
Yehi ajr e risalat tha-2 Hata jab se tera saaya
6) Yeh kaisa waqt tha "Shahbaz" Aaya binte Ahmed pe
"Raza" kehti thi woh Ek baar bhi khul kar na Haider se
Mujhe haste huwe dekha-2 Hata jab se tera saaya