Girya Kuna hain Fatema (sa) muslim (as) ki lash par
- Shahbaz Ali Khan (2019)
Haye Muslim as Bine Aqeel as... 4
Girya Kuna hain Fatema (sa) muslim (as) ki lash par
Aayi hain phir woh koofe mein pehlu Ko thamkar
Girya Kuna hain Fatema (sa) muslim (as) ki lash par
1) Karbobala ki koofe mein Hoti hai ibteda
Is tarah koofiyoñ ne musafir se ki daga
Muslim Ko qatl kardiya mehmaan bulakar
2) Mazloom ki madad ke liye koi na Aya
Paani bhi dame Marg na mazloom ne paya
Bekas pe sitam dhate hain har aan sitamgar
3) Koofe mein koi yaar o madar gaar nahi hai
Is bewatani mein koi ghamkhwar nahi hai
Tanha hai laeenoñ mein shahedeeñ ka baradar
4) Besakhta ankhoñ se lahoo hogaya jaari
Dil gham se CHAAK hogaya Sarwar ka us ghadi
Muslim ki shahadat ki suni JIS ghadi khabar
5) Muslim ki tarah koi aseer e jafa na ho
Zalim ke darmiyan koi bekhata na ho
Kehti hai rooh e Fatema ashkoñ Ko bahakar
6) Ek pal na reham ahle sitam un pa khaenge
Koofe mein maare jaaenge muslim ke laadle
Zalim karenge tan se jUDA bekasoñ ke sar
7) Ek bewatan pe ZULM ki Hoti hai inteha
Aadil QAZA ke Baad bhi kufe mein ashkiya
Bazar mein phirate hain lashe Ko bandh kar