Rehai qaid se
- Farhan (ALI WARIS) (2020-21)
Haye haye zainab, haye zainab..(2)
kya beet gayi hogi, zainab ke dil pe logo..(2)
Zainab ke dil pe logo
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
Bina hussain ke..(2)
woh kaise ghar gayi hogi...
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
1. Aye nana tere nawase ko teri ummat ne
dafan kiya hai ya urya'n hi ban mein chhod diya
hussain ya hussain
hussain ya hussain
hussain badshah
hussain shehenshah
hussain deen hai
hussain dee'n panah
shaheed e karbala
zabeeh e nainawa
hai tera ghar luta
be jurmo be khata
hussain ya hussain ya hussain ya hussain
batool zaadi yehi, baat sochti hogi
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
2. Pade the laashe jawano ke dasht e karbal mein
pada tha ghazi ka lasha baghair shaano ke
abbas haye abbas
abbas haye abbas
abbas ba wafa
abbas ba safa
ali ki god ka
hai tu paala hua
abbas mojza
hai tu batool ka
abbas ek naya
hai pesh marhala
hai zainab berida
safar hai shaam ka
hai shami behaya
wa musibata
abbas haye abbas haye abbas haye abbas
jawaan bhai ke shano ko dhundhti hogi
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
3. Luti thi dasht mein jo chadar e saidaniyo ki
lautayi abid e beemar ko laeeno ne
sajjad haye sajjad
sajjad haye sajjad
beemar e karbala
aseer e bekhata
tumhara qafla
to tha luta hua
pehenke bediya
jidhar bhi tu gaya
wo raasta bhi tha
lahu lahu hua
najane kis tarha
ye tune seh liya
wo zainab e hazee
ka sar khula hua
fir uske baad bhi
tu jab talak jiya
tumhari aankh se
sada hai khoo'n baha
sajjad haye sajjad haye sajjad haye sajjad
ali ki laadli, hasrat se dekhti hogi
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
4. Wo chhe mahine ke bache ko teer maara tha
wo sheer khwar ka sar bhi sina pe aaya tha
sagheer haye sagheer
sagheer haye sagheer
sagheer e karbala
hai kushtaye jafa
kisi ki dushmani
hai tumse kyu bhala
tumhara sinn bhi
nahi hai jung ka
qaza ka teer hai
ba dast e hurmala
tumhara phool se
bhi narm hai gala
rabab kis tarha
karegi hausla
khuda ra hausla
hussain par yehi
to waqt hai kada
lahu sagheer ka
hai muh pe mal liya
sagheer haye sagheer haye sagheer haye sagheer
batool lehed mein, muh apna peet-ti hogi
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
5. Gaya jo qafla maqtal mein aale ahmed ka
veeran dasht mein har bibi apne pyaaro ko
jawaan haye jawaan
jawaan haye jawaan
shabeeh e mustafa
vazeer e murtaza
athara saal se
tu burqe mein pala
phuphi ne naaz se
tujhe jawaa'n kiya
khuda ke waaste
abhi na ran mein jaa
hussain kis tarha
ye dekh payega
jawaan ka jigar
sina ka tootna
behen thi muntazir
ke laut ke tu aa
wo ab bhi dekhti
hai tera raasta
jawaan haye jawaan haye jawaan haye jawaan
tadapti dhoop mein, ro roke dhundhti hogi
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
6. Suna jo hoga sakina ne qabr mein akhtar
ke sab chale hai mujhe chhod ke madine ko
masuma qabr mein tanha hi ro rahi hogi
Rehai qaid se zainab ko jab mili hogi..(2)
Haye haye zainab haye zainab
haye zainab, haye zainab, haye zainab