Askari maula

- Meesum Abbas (2020-21)


Haye..Haye
Ye ghum wo ghum hai ke, dono jahaan rote hai
yateem aaj imam e zamaan hote hai

Haye hasan askari maula..
haye hasan askari maula..

Haye hasan askari maula..
haye hasan askari maula..

Aye bin e zahra, askari maula..(2)
shahe samarrah, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(2)

1. Haaye qayamat ki ghadi aagayi kaisi
saaye se mehroom tere hogaye Mahdi
hoke juda rota raha aapka beta
aye mere baba, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

2. {Kaisa aseeri ka sitam tum pe hua hai
tere liye ghar tera zindaan bana hai}..(2)
maula tera ghar mein hua dafn janaza
haye ghurbata, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

3. Samarrah har saal chale aate hai zawwar
aapka taboot uthate hai azadaar
farshe azaa bichta raha bichta rahega
lijiye pursa, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

4. Saare azadaro ke lab par ye dua hai
waasta tujhko tere bete ka diya hai
dil mein basa roza tera, Mahdi ke baba
humko bulana, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

Askari Maula, Hasan ..(4)

5. Qaidi e Mazloom mere gyarwe(11) sarkar
dene ko pursa tumhe aaye hai azadaar
pursa qubool ho aye mere sayyed o sardaar
humlog tere nazre karam ke hai talabgaar
ghum ye tera dil mein sada uthta rahega
roti hai duniya, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

6. {Jab bhi tere naam ki hoti hai ye majlis
saath mein zahra ke chali aati hai narjis}..(2)
dekhiye zara mehwe buka hai teri zaujah
karti hai nauha, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

7. Parda e ghaibat mein jo beta hai tumhara
bheje use jald pareshan hai duniya
sunlo dua behre khuda warise kaaba
hai ye ilteja, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)

8. Mesum o azlan pe bus itna karam ho
naam tere chahne walo mein rakam ho
kardo ataa hum ko sila nauhe ka maula
khwab ho pura, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)