Janaza Rasool Ka

- Rizwan Rizvi (2020-21)


Tanha rakha hai ghar me janaza rasool ka
Ashaab chun rahe hai khaleefa rasool ka

 Ek roz me nabi se zamana badal gaya
Koii nhii uthaeey jo laasha rasool ka

Duniya sab apni apni banane me lag gayii
Beti akeli padhtii hai nauha rasool ka

Mushkil kusha e waqt hai mushkil me aaj khud
Tanha uthaeey Kaise janaza rasool ka

Shayad Koii to aaye isi intezaar me
Rakha hai teen din se janazaa rasool ka

Baad nabi ye aaya zamane me inqelaab
9 nav ummati the aur janaza rasool ka

Sab kaam karke apne musalmaan aae hai
Phir Qabr se nikaalne laasha rasool ka

Rona bhi fatema ka gawara nhi nhi
Padhte the roz o shab jo qaseeda rasool ka

Hathon me aag leke dar e fatema pe log
Beti se lene aae hai badla rasool ka

Darwazah fatema pe giraya lagae aag
Accha diya hai beti ko pursa rasool ka

Apna haq maangne sare darbaar jab gayii
Aad aaya fatema ko zamana rasool ka

Aale nabi pa tode gaye Zulm ke pahaad
Maila abhi Kafan na hua tha rasool ka

Hujre me dafn kar diya ye soch kar raza
Le Jaee kalmagoon na janazaa rasool kal