Be aliyin be ali

- Farhan (ALI WARIS) (2021)


Ali.. Ali.. Ali.. Ali..
Ali.. Ali.. Ali.. Ali..

Ali.. Ali.. Ali.. Haider
Haider Ali Ali

Ali.. Ali.. Ali.. Haider
Haider Ali Ali

Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali
Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali

Naade ali padhte raho..
Jhoom ke tum kehte raho
Hai ye malango ka wazifa....
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

1. Janibe kaaba jo chali maadar e haider
Dekha zamane ki nigaho'n ne ye manzar
khana e kaaba mein bana ek naya darr
Dar ne khulte hi kaha
be aliyin, be ali
Marhaba shere khuda
be aliyin, be ali
Mujhpe hua rab ka karam
aaye juhi tere qadam
mera muqaddar badal gayaa...

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

Wird e mann, wird e mann, wird e mann ali
Hirz e mann, hirz e mann, hirz e mann ali

Ali aaqa.. Ali
Ali daata.. Ali
Ali awla.. Ali
Ali Mawla.. Ali
Ali aala, Ali baala, Ali qibla, Ali kaaba
Ali awwal, Ali akhir, Ali batin, Ali zahir
Saqiye mann.. Ali
Shafiye mann.. Ali
Waliye mann.. Ali
Hamiye mann.. Ali
Ali sirat e mustaqeem
Ali hai aayate qadeem
Ali kareem ibn e kareem
Ali raheem Ali azeem
Ali mushkil kusha.. Ali
Ali hajat rawa.. Ali
Ali darush shifa.. Ali
Ali qahr e khuda..(3)
Ali.......
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

Jab se khuli aankh meri
maa ne sikhaya hai yehi
wird hai taweez hai mera

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

2. Rab ne jab adam o hawwa ko zamee'n par bheja
phir farishto'n ne unhe wird naya samjhaya
us wasile se dua maangi, hui khatm saza
tab ye adam ne kaha..
Be aliyin , be ali
hogaya raazi khuda
Be aliyin, be ali
tere wasile se khuda
radd hi nahi karta dua
kyu na kahu phir mai jaabaja

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

3. Naade ali aayi Mohammad ke labo'n par
Aaye ali qatl hue marhab o antar
toda jo angusht se darwaza e khaibar
gunji maida'n me sada
Be aliyin, be ali
deen e haq jeet gaya
be aliyin, be ali
jeet gayi fauj e khuda
tab ye Mohammad ne kaha
sar hua khaibar ka maajra

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

4. Sau(100) baar le gayi sare bazaar muflisi
har baar maine apna aqeeda bacha liya
maine padhi thi apne hifazat ke waaste
naade ali saara ilaaqa bacha liya

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

Wird e mann, wird e mann, wird e mann ali
Hirz e mann, hirz e mann, hirz e mann ali 

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

5. Zikr tera tere malango ki ibadat
maula tera ishq hai sabse badi daulat
kehti hai shehbaz qalandar ki riyazat
hui parwaaz ataa
be aliyin, be ali
mai fazao'n mein uda
be aliyin, be ali
shams ka naara tha yehi
dam hama dam ali ali
saare jaha'n mein mera charcha

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

6. Arsh pe jo pohche nabi dekha ye manzar
hoor o malak, ehle jina, khaliq e akbar
ek wazifa hai yaha'n sabke labo'n par
kunfa ya kun ki sada
be aliyin, be ali
ye jaha'n khalq hua
be aliyin, be ali
yaani ke meraj e nabi
teri ziyarat se hui
kehne lage khud ye Mustafa

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

7. Chhoda jo fizza ne habash ek dua ki
takht nahi chahiye zahra ki kaneezi
yaad musalle pe ali aagaye juhi
hogayi puri dua
be aliyin, be ali
ye sharaf mujhko mila
be aliyin, be ali
chandi banane ka hunar
farsh se taa arsh talak
hai yehi fizza ka khulasa

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali

8. Kehte hai duniya se yehi buzar o salman
ishq e ali ho to sanad paata hai imaan
qaul e Mohammad hai yehi kehta hai qur'an
deen o duniya ki baqa
be aliyin, be ali
ye azano ki sada
be aliyin, be ali
sahib e imaan kahe
mazhar o farhan kahe
naslo mein baaqi hai aqeeda

Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali
Be aliyin , be aliyin, be aliyin, be ali