Darmiyaan e Dar O Deewar pisi Hain Cheekhein

- Rizwan Rizvi (2020-21)


Ummat se pareshaan muhammed ki Dulaari
Karti thi jigar tham ke bus girya o zari
Hasnain ko dekha kabhi haider ko pukari
Yeh Gham dil e zehra ke liye kitna tha bhari
Ankhoon mai dehekte hue ashko ki ladi thi
Be sakata mohsin jo mara cheekh padhi thi

Darmiyaan E Dar O Deewaar Pisi Hain Cheekhein
Ashk Ban Kar Kabhi Aankho'n Se Bahi Hain Cheekhein


Reza Reza Kahi Ik Phool Ka Bikhra Hai Wujood
Dheere Dheere Kisi Goshe Se Uthi Hain Cheekhein


Dhoondh kar dekh zara raakh mei mil jaayegi
Jalte darwaaze k hamraah jali hai cheekhein


Pasliya Chatkhi Thi Jis Lamhe Me Seydaani Ki
Usi Ik Lamhe Ki Sadyo'n Ne Suni Hain Cheekhein


Ho gaya larza bar-andaam moarrikh ka Qalam
Itni tareekh k kaanoN mei basi hain cheekhein


Jaise gir ke kahi taaza lahoo jamm jata hai
Daaman e waqt pa is tarha jamee hain cheekhein


Abr E Gham Toot Ke Barsa Hai Shikasta Dil Par
Tab Kahi Jaake Bahaaro Ki Thami Hain Cheekhein


Zakhm E Taaza Pa Naye Zakhm Ka Marham Rakh De
Abhi Zinda Hu Main Kuch Baaqi Abhi Hain Cheekhein


Zulm Ne Jinko Madeene Me Dabaana Chaha
Saare Aalam Me Wahi Goonj Rahi Hain Cheekhein


Uska Gham Nazr E Qalam Kar To Diya maine nadeem
Mere Har Lafz Ke Pehloo Se Uthi Hain Cheekhein