Aye Jaun (as) Bhai Ho Tum Meray

- Mir Hasan Mir (2021)


Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray 
Abbas Ki Kasam Tumhain Lag Jao Na Galay

Baba Bhi Aye Hain Meray Nana Bhi Aye Hain
Chehray Ka Noor Dekhiye Musa Bhi Aye Hain 
Yousuf Kharay Huye Hain Ziyarat Ky Waste

Tujh Ko Duain Ajj Sy Dy Gi Dua-e-Noor
Khushboo Teray Paseenay Ki Phelay Gi Dur Dur
Mil Jaye Ga Lahu Tera Khoon-e-Hussain Sy

Ahl-e-Haram Ko Tum Sy Hai Dharas Meray Delar
Pehra Do Phir Khayam Ka Utho Aye Meray Sher
Kyun Ja Rahe Ho Tum Mujhay Ghurbat Main Chor Ky

Karna Dua Hussain (as) Py Asa Na Waqt Aye 
Koi Sada Dy Hum Ko Aur Hum Sy Chala Na Jaye 
Lasha Tumhara Dhast Sy Hum Khud Uthainge 

Ahista Kehna Saqi-e-Kausar Sy Mera Haal
Rakhti Thi Meri Pyas Ka Amma Bohat Khayal
Ghurbat Na Ho Bayan Meri Amma Ky Samne 

Aye Hain Zakhm Tum Ko Meri Jaan Kahan Kahan
In Zalimon Ny Maari Hain Seenay Py Barchiyan
Shabbir Kis Tarhan Sy Tumhare Galay Lagay

Tou Ny Gala Kataya Hai Pehle Hussain (as) Sy
Dilwainge Jaza Woh Shahe Mashraqain (saw) Sy
Chadar Utha Ky Deti Hain Amma Dua Tujhay  

Seenay Laga Ky Kehne Laga Ibn-e-Fatima (sa) 
Khushboo Sy Teri Mehkee Gi Ta Hashr Karbala 
Bou Hai Tere Paseenay Main Kis Ny Kaha Tujhay

Jaldi Thi Dekho Jaun Ko Sajjad Kis Qadar
Dhaal Aur Zira Ko Phenk Ky Seena Kiya Sipar
Jis Dum Suna Hussain (as) Sy