Abbas Ek baar mujhe bhi maa kehde

- Irfan Haider (2021)


Haaye..
Ya abbas, ya abbas
Abbas.. Abbas
Ya abbas...

Ek baar sada do na, maa kehke pukarona
Ya abbas...

Waqt e rukhsat hussain ko bhai
jab alamdar ne kaha hoga
sochta hu ke roohe zahra ne
roke us waqt ye kaha hoga

{Abbas, abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde}..(3)

1. Shabbir ko bhai tune kaha 
bhai ka kiya armaa'n pura
armaan mera pura karde.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

2. Aye laal mere maa hone ka
har farz nibhaya hai maine
abbas.. abbas
shabbir ke hatho se tujhko
jhula bhi jhulaya hai maine
ehsaan tera hoga mujhpe.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

3. Zakhmi thi bohot phir bhi tujhse
is maa ko mohabbat thi itni
abbas.. abbas
ek haath tha mera pehlu pe
ek haath se kurta seeti thi
sab zakhm mere bhar jaenge.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

4. Jis waqt gira tu ghode se
mai dekh rahi thi wo manzar
abbas.. abbas
aghosh mein tujhko rote hue
maine hi sambhala tha badhkar
kab door hui hu mai tujhse.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

5. Bachcho ke liye jab dariya se
mashkiza bhara paani na piya
abbas.. abbas
sehroz ka pyaasa hokar bhi
kya khoob nibhayi tune wafa
aye tashna dahan mere pyaase.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

6. Teri aankh se teer nikalu mai
tu dekhle bhai ka chehra
abbas.. abbas
ye waqt e judayi hai dil mein
hasrat na rahe koi beta
aa khoon hata du aankho'n se.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

7. Khaime mein sakina pyaasi hai
ye baat tujhe tadpati hai
abbas.. abbas
is haal mein bhi tujhko haaye
zainab ki rida yaad aati hai
aa tujhko laga lu seene se.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)

8. Zeeshan sunaya ro ro kar
irfan e azaa ne ye nauha
abbas.. abbas
dariya ke kanare ghazi ne
maa kehte hue dum tod diya
zahra ne kaha jab ro ro ke.. abbas
ek baar mujhe bhi maa kehde abbas..(2)
Ya abbas, ya abbas
Abbas.. Abbas