Salamat rahe ye azadari

- Irfan Haider (2021)


Ya Hussain...
Hussain... Hussain.. Hussain

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain

Maulana Hussaina
Maulana Hussaina
Maulana Hussaina

Sadqa..
Sadqa Ali Akbar ka ataa kijiye maula
Sadqa..
Sadqa Ali Akbar ka..

Hai khushnaseeb..
Hai khushnaseeb tere azadar ya hussain
Ya hussain, Ya hussain
Rehte hai tere ishq mein sarshar ya hussain
Ya hussain, Ya hussain
Dast e dua baland hai sarkar ya hussain
Hai do jaha'n ke malik o mukhtar ya hussain
Farsh e hussainiyat ke ujalo ki khayr ho

Maula.. 
Maula tumhare chahne walo ki khayr ho
Aye badshah e karbala
qubool kijiye dua

Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2)

1. Ishq tera sab se juda, zinda rahe naam tera
Aba abdillah ya.. 
Aba abdillah ya..
Aba abdillah
Hai kareem e karbala hussain..
Haan..
Tera ye ghum, hoga na kam
aaj bhi dilo pe tera raaj hai
tu hai sakhi ibn e sakhi
hurr ko bakhsh na tera mizaaj hai
aye badshah e karbala..
qubool kijiye dua

Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2)

2. Wird e zaba'n hai ye sukhan
karbobala mera watan
Aba abdillah ya.. 
Aba abdillah ya..
Aba abdillah
Zindabad arz e karbala
Haan..
Tujhsa haseen koi nahi
noori qafele rawa dawa'n rahe
sue haram jaaye jo hum
sayyeda ke zere sayebaa'n rahe
aye badshah e karbala..
qubool kijiye dua

Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2)

3. Bint e wali Ibn e Ali, Ya'ni hussain ibn e Ali
Aba abdillah ya.. 
Aba abdillah ya..
Aba abdillah
Rabbi zidna hubba lil hussain
Haan..
nas aluhu, nazkuru kum
marhaba hussain, marhaba hussain
Salle alaa, salle alaa
tujhpe sad hazaar martaba hussain
aye badshah e karbala..
qubool kijiye dua

hussain hussain jaan
hussain hussain jaan
yabn az zahra hussain
hussain hussain jaan

hussain ya hussain, hussain
hussain ya hussain, hussain
hussain ya hussain, ya hussain ya hussain

Hussainiyo...
hussainiyo meri awaaz se awaaz milakar ye kaho

Shah ast hussain..(2)
Badshah ast hussain..(2)
Dee'n ast hussain
Dee'n pana ast hussain
sar daad na daad
dast e dar dast e yazeed
haqqaq e bina e la ilah ast hussain

hussain ya hussain, hussain
hussain ya hussain, hussain
hussain ya hussain, ya hussain ya hussain

4. Haan..
Bhoole nahi aaj bhi hum, dosh e nabi tere qadam
Aba abdillah ya.. 
Aba abdillah ya..
Aba abdillah
Dil ye tera ghar hai ya hussain
Haan..
Tujhpe fida arz o samaa
tu hi jism o jaan e kaynaat hai
shah e umam, teri qasam
mehwar e hayat teri zaat hai
aye badshah e karbala..
qubool kijiye dua

Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2)

Hussain walo..
Aao, Aao ek ahad kare
Aao ek ahad kare..(2)
apne maula se wafadar rahenge wallah
misle hurr sahib e qirdar rahenge wallah
kuch bhi hojaene azadar rahenge wallah
duniya soti rahe bedaar rahenge wallah
matam e shah ki tash'heer nahi chodenge
daman e hazrat e shabbeer nahi chodenge

tumse waada ye raha, aye ghareeb e zahra
jis tarha tumne hume yaad rakha
hum bhi tumko nahi bhulenge sadaa

hussain ya hussain, hussain
hussain ya hussain, hussain
hussain ya hussain, ya hussain ya hussain

5. Haan..
Jisne tera naam liya, tune use thaam liya
Aba abdillah ya.. 
Aba abdillah ya..
Aba abdillah
Ya man ismuhu dawaa hussain
haan..
Ehle azaa ki hai dua
jo mareez hai unhe mile shifa
lauhe dilam par hai raqam
jisko tu mila use khuda mila
aye badshah e karbala..
qubool kijiye dua

Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2)

Maula maula, maula maula
Maula sunle ye dua
Maula sunle ye dua..(3)

Yaa Hussain..
Yaa Hussain

Maula...
Mere maula tujhe khoon e ali asghar ki qasam
akbar o qasim o abbas e dilawar ki qasam
shaam ki raho mein zainab ke khule sar ki qasam
har tamache pe jo royi usi dukhtar ki qasam
ilteja karte hai ye, karo irfan e azaa
matam e hazrat e shabbeer kabhi na ho qaza

Ya hussain