Kya pata zindagi ka
- Nadeem Sarwar (2021)
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
Aye wa ghareeb.. Hussaina
Aye wa shaheed.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye azadaro, Zahra ke pyaaro
tumko shaheed e karbala ne pukara
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
1. {Salam zahra ke mahparo
Salam haider ke chand taro}..(2)
Naiza sawaro, aye jaa nesaro..(2)
karbala walo lo salaam hamara
karo matam karo saari fauje khuda ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye wa ghareeb.. Hussaina
Aye wa shaheed.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
2. {Hum ho na ho ye ghum to rahega
kal koi hum sa matam karega}..(2)
Farshe azaa to bichta rahega..(2)
Ek din ye saara sansar kahega
karo matam karo milke shahe huda ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye azadaro, Zahra ke pyaaro
tumko shaheed e karbala ne pukara
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
3. {Badle jo mausam, badle zamana
gar hai ghumo se khudko bachana}..(2)
farshe azaa se door na jaana..(2)
toote dilo ka hai hussain sahara
karo matam karo dil e mushkil kusha ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye wa ghareeb.. Hussaina
Aye wa shaheed.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
4. {Laaya moharram hussain ka ghum
hai kaale kapde, hai kaale parcham}..(2)
nauhe sabilein, taziye matam..(2)
sheh ki azaa ka pur noor nazara
karo matam karo raazi dil sayyeda ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye azadaro, Zahra ke pyaaro
tumko shaheed e karbala ne pukara
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
5. {Bhoolenge kaise roze ashoora
wo paara-paara gulshan e zahra}..(2)
shah e zaman ka teero pe laasha..(2)
laakho ne milke mazloom ko maara
karo matam karo gul e khairun nisa ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye wa ghareeb.. Hussaina
Aye wa shaheed.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
6. {Zahoor hoga zuroor hoga
sheh ke haram mein aaenge maula}..(2)
hujoom hoga ehle azaa ka..(2)
us din kahega humse maula hamara
karo matam karo har qateel e jafa ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
Aye wa ghareeb.. Hussaina
Aye wa shaheed.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Aye wa mazloom.. Hussaina
Hussain ya hussain maula
hussain ya hussain
Aye azadaro, Zahra ke pyaaro
tumko shaheed e karbala ne pukara
Karo matam karo shahe karbobala ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka
kal ho na ho kya pata zindagi ka