Barchi akbar ke kaleje se
- Farhan (ALI WARIS) (2021)
Haaye baba, hai dard bada..(3)
Baba..
Haaye baba, hai dard bada..(2)
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
1. Aisi uljhi hai kaleje mein ye barchi baba
saath barchi ke kaleja bhi nikal aayega
waqt hai mushkil hai bada khudko, sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
Haye baba, hai dard bada..(2)
2. Waar zalim ka tha aisa mai sambhal na paaya
usne seene mein hi barchi ki ani ko toda
mujhko is dard ki mushkil se nikalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
3. Ab to kuch der mein jaa'n meri nikal jayegi
fir kabhi behna meri mujhse na mil payegi
ho sake to meri sughra ko bula lo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
4. Baba jaa'n laash meri khaimo mein jab jaegi
maa to ye haal mera dekhke mar jayegi
zakhm seene ka kisi tarha chhupa lo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
5. Haye ashq rukhsar pe raasha hai tere hatho'n mein
ye bhi mushkil hai ke beenayi nahi aankho'n mein
tum madad ke liye dada ko bulalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
6. Zabt farhan qayamat hai, likhe kya mazhar
akhri baat yehi kehke sidhare akbar
Ya ali kehke mera laasha utha lo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
Akhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba..(2)
Haye baba, hai dard bada..(2)