Yehi charagh jalenge to roshni hogi

- Farhan (ALI WARIS) (2021)


Charagh e azaa jalate raho
Charagh e azaa jalate raho

Wafa ki phool khilate raho

Banao nasl azadar to khushi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

Banao nasl azadar to khushi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

1. Tabarrukat aqeedat se ye banate hai
alam bhi chota sa mimbar bhi ye sajate hai
phir apni boli mein nauhe bhi ye sunate hai
azaa ka jazba liye nasl yeh badi hogi

yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

2. Jo nanhe bachhe karate hai majlis e sarwar
khud aake farsh bichati hai bint e payghambar
jina se saath mein dadi ke aate hai asghar
dua sakina ke lab par yeh aa rahi hogi

yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

3. Yeh ek zamana hai aayega ek zamana phir
banega inme koi aalim aur koi zakir
ye nauhakhwan banenge hussain ki khatir
yeh nasl fasle azaa banke phir hari hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi

Banao nasl azadar to khushi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

4. Dil e batool mein aala hai martaba inka
har ek qadam pe badhana hai hausla inka
hamesha karna hai humwaar raasta inka
janabe fatima zahra ko phir khushi hogi

yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

5. Ab inhi bachho ke hatho mein hai azadari
inhe abhi se sikhani hai taziyadari
hum inko saunp ke jayenge ye alamdari
azaa ye jaise ke hoti thi wesi hi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi

Banao nasl azadar to khushi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

6. Inhe sikhao ke hoti hai ye azaa kaise
alam sajate hai kis tarha, zuljanah kaise
sabeel pyaso ki banti hai, jaa bajaa kaise
azaa ki hai jo wirasat wo saupni hogi

yehi charagh jalenge to roshni hogi..(2)

7. Mila jo humko buzurgo se mazhar o farhan
azaai wirsa jo rehta hai shamil e imaan
hamari naslo ki bakshish ka hai yehi samaan
jaha'n mein hum na rahenge azaa yuhi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi

Banao nasl azadar to khushi hogi
yehi charagh jalenge to roshni hogi
roshni hogi
roshni hogi
roshni hogi