Abbas ko bulao
- Farhan (ALI WARIS) (2021)
Jis waqt shaam aaya
Zainab ka dil ghabraya
Jis waqt shaam aaya
Zainab ka dil ghabraya
Zainab ka dil ghabraya
Bazaar mein sitamgar
zainab ko laa rahe hai
abbas ko bulao..
Bazaar mein sitamgar
zainab ko laa rahe hai
abbas ko bulao..
Aale nabi ko zalim
dar dar phira rahe hai
abbas ko bulao..
Bazaar mein sitamgar
zainab ko laa rahe hai
abbas ko bulao..
1. Saidaniya to sheh ke matam mein ro rahi hai..(2)
aur be haya sitamgar khushiya mana rahe hai
abbas ko bulao..
2. Ek ashk par hai jinke dono jahaan sadqe..(2)
has has ke shaam wale unko rula rahe hai
abbas ko bulao..
3. Ahle haram pe zalim barsa rahe hai patthar..(2)
mazloom sar jhukaye aansu baha rahe hai
abbas ko bulao..
4. Be khauf hoke zalim, ghasib ghulam zaade..(2)
sheh ki yateem bachhi, pe zulm dha rahe hai
abbas ko bulao..
5.Tishna dahan sakina hasrat se dekhti hai..(2)
paani dikha dikha kar shaami rula rahe hai
abbas ko bulao..
6. Beemar saarbaa'n se ghabra ke boli zainab..(2)
hum be rida khule sar darbaar jaa rahe hai
abbas ko bulao..
7. Ek maa tadap tadap ke faryad kar rahi hai..(2)
sajjad ke sitamgar durre laga rahe hai
abbas ko bulao..
8. Phir waqt aagaya hai duniya mein aaj gohar..(2)
Ehle sitam jaha'n mein phir sar utha rahe hai
abbas ko bulao..
Bazaar mein sitamgar
zainab ko laa rahe hai
abbas ko bulao..