Bete ke qatilo se
- Mir Hasan Mir (2021)
Haye akbar, haye akbar..(2)
Ayna ayna ali akbar?
Ayna ayna ali akbar?
Haye akbar, haye akbar
Haye akbar, haye akbar
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(3)
Koi mujhe bata de, laasha kaha'n pada hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
1. Dil par meri bahan ke khanjar chala diya hai
kisne hamare ghar ka suraj bujha diya hai
din mein andhera meri, ankho'n mein hogaya hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
2. Pyaase ko bewatan ko, itna to mat satao
chal chalke thak gaya hu, logo mujhe batao
ab aur kitna baaqi, maqtal ka fasla hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
3. Ghazi ko tumne maara, mai chup raha na bola
akbar ko maara naiza, mai chup raha na bola
tumse sawaal karlu, itna to haq mera hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
4. Maa ko baghair dekhe, beta guzar na jaye
pohcha do mujhko jaldi, mazloom marr na jaye
awaaz aa rahi hai, wo hichki le raha hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
5. Khaime se jab chala tha, kehti thi meri behna
pamaal ho na jaye, akbar ki laash bhaiyya
kaano mein mere ab tak, baaqi wahi sadaa hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
6. Dil baitha jaa raha hai, rukte nahi hai aasu
jungle se aa rhi hai, uske lahu ki khushbu
kuch saanse chal rahi hai, ya sher chal basaa hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
7. Aulad e Mustafa se kis tarha phir gaye ho
kadyal jawa'n ka marna aasa'n samajh rahe ho
tumlog has rahe ho, dil mera ro raha hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
8. Ehle haram ki akbar, ummeed akhri hai
kehti hai ye zaeefi, mera asaa yehi hai
ab do qadam bhi chalna, dushwar ho gaya hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
9. Ghurbat hai aur takallum ibn e shahe najaf hai
koi bola is taraf hai, koi bola us taraf hai
akhir pukare maula, ghazi tumhe pata hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)
Haye akbar, haye akbar..