Zakhmi hai bohot akbar
- Irfan Haider (2021)
Haye Ali akbar..(2)
Haye Ali akbar..(2)
Ek shor hai...
Ek taraf zaeefi hai..
Ek taraf jawani hai..
Haye,
Ek baap ne bete ki ab laash uthani hai
Maula.. Maula.. Maula..
Maula, Maula
Maula, Maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
1. Haye,
Zakhmi hai bohot gesuo wala na uthega
tanha ali akbar ka janaza na uthega
Abbas ko dariya se bula lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
2. Haye,
Akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
yaa shah e zama'n aap se bas arz yahi hai
Seene se nigaho ko hata lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
3. Ghar mein to jawa'n laash ko le jana padega
ek aur ali aap ki imdaad karega
sajjad jo ghash mein hai, jaga lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
4. Haye,
Sar peet-ti khaime se nikal aayengi woh bhi
marta ise dekhengi to mar jaegi wo bhi
is zakhm ko zainab se chupa lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
5. Haye,
Wazni hai ye laasha dare khaibar se zyaada
quwat yaha'n darkaar hai, haider se zyaada
Ya Zahra kahe aur, utha lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
6. Haye,
Beta ye hasee'n aapka, zahra ka gule tarr
hota hai juda aapse, humshakl e payaambar
ek baar kaleje se, laga lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula
7. Haye,
Irfan o raza hai yahi, is dil ki tamanna
mimbar pe haram ke padhe, akbar ka ye nauha
roze pe hume firse, bula lijiye maula
Zakhmi hai bohot akbar
Maula, Maula