Athara baras in hatho'n se pala hai
- Syed Raza Abbas Zaidi (2021)
Haye akbar.. Haye zainab..(2)
Marne ki ijazat jab maangi
akbar ne to yeh sarwar ne kaha
zainab se ijazat lo beta
tum par hai ziyada haq uska
khaime mein phuphi amma ke jab
athhara baras wala pohcha
maangi jo ijazat akbar ne
zainab ne pukara aye beta
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai..(2)
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
1. Akbar tujhe dekhu to chalti hai meri saa'nse
kis tarha se tujhe zakhmi dekhengi meri aankhein
dekhengi meri aankhein
Mere gul badan, mere naujawa'n
kaleje mein jab, lagegi sina
meri jaan tum, na seh paoge
tumhe kis tarha sambhalegi maa
maloom hai zainab ko, nazuk tera seena hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
2. Ek baar zara apne baba ki taraf dekho
kis tarha uthaenge woh tere janaze ko
woh tere janaze ko
ajab haal hai, kamar mein hai khum
hai abbas ki, judayi ka ghum
ghareeb ul watan, bohot thak chuka
zaeefi bhi hai, nazar bhi hai kam
aye laal mera bhai seh roz ka pyaasa hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
3. Mai paalne wali hu itna to mera haq hai
socha tha ke ek din mai jab jaungi duniya se
jab jaungi duniya se
lahad mein mujhe, utarega tu
ye armaan hai, yehi aarzu
rahe tu sadaa, mere saamne
ruke saans bhi, tere ru baru
aye laal abhi mera armaan adhura hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
4. Jab pehle pehel tujhko haatho pe uthaya tha
yeh kehte hue maine seene se lagaya tha
seene se lagaya tha
meri zindagi, mere laadle
kisi ki tujhe, nazar na lage
tujhe dekhne ko, bechayn thi
sukoo'n mil gaya, tujhe dekh ke
tu aankho'n ka taara hai tu raaj dulara hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
5. Sughra se kiya waada kya yaad nahi akbar
beemar madine mein mar jaye na ro ro kar
mar jaye na ro ro kar
use aas hai, ke aoge tum
jo waada kiya, nibhaoge tum
sakina se woh, bohot door hai
bahan se use, milaoge tum
beta tumhe sughra se woh waada nibhana hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
6. Akbar teri shadi ka armaa'n hai bohot humko
hum seh nahi payenge aye laal tere ghum ko
aye laal tere ghum ko
jabee'n par teri, jo sehra bandhe
tamanna hai woh, phuphi dekhle
dulhan ko teri, sajaungi mai
aye mere hasee'n, jawa'n laadle
zainab ne abhi tujhko dulha bhi banana hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
7. Yeh kehne lage akbar zainab ki sadaa sunke
afzal to nahi amma mai dilbar e zahra se
mai dilbar e zahra se
akele hai wo, nahi hai koi
musibat mein hai, zarurat meri
nazar kis tarha, milaunga mai
agar aap ne, ijazat na di
kyu aapke hoto'n pe is waqt yeh nauha hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai
8. Akbar ki sadaa sunkar zainab ne ijazat di
rukhsat jo hue akbar kaisi woh qayamat thi
kaisi woh qayamat thi
duaein khuda, se karti thi woh
mere laal ki, khuda khayr ho
kaha Ya Ali, madad kijiye
mai rukhsat karu, jawa'n laal ko
zeeshan o raza phir na zainab ne pukara hai
Mai kaise kahu akbar..
Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao
Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai