Aksar ye kaha karti thi
- Muqtadi Raza Amrohi (2013)
Haye sughra, haye sughra
haye haye sughra..(2)
Aksar ye kaha karti thi zindaa'n mein sakina
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
1. Beemar thi tumse ye safar tay nahi hota
mar jaati jo tum dekhti akbar ka tadapna
in aankho'n ne dekha hai wo barchi mein kaleja
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
2. Jo mujhpa guzarti hai bahan mujhko khabar hai
kya hoti hai gardan mein rasan mujhko khabar hai
maara hai badi zor se zalim ne tamacha
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
3. Tum dekh nahi sakti thi besheer ki haalat
khud baap ne dafnayi hai masoom ki mayyat
phir khod ke turbat ko gala kaata hai uska
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
4. Sar sajde mein baba ka tha gardan pe churi thi
kuch door khadi meri phuphi dekh rahi thi
pani na diya shimr ne sukha gala kaata
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
5. Yaad aata hai beemar ko zainab ka uthana
dariya ki taraf dekh ke ghazi ko bulana
jab sochti hu mu se nikalta hai kaleja
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
6. Sar nange phuphi amma ka darbaar mein jana
zanjeer mein jakde hue mukhtaar ka aana
dekha na gaya abid e beemar ka chehra
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
7. Pehchaan na paogi jo tum mujhse milogi
kya naam hai tu kaun hai mujhse ye kahogi
waise nahi ummeed ke milna ho dobara
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
8. Sughra se raza haaye na mil payi sakina
sab chut ke watan aagaye aayi na sakina
mar hi gayi zindaan mein padte hue nauha
acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)
Haye haye sughra....